terī nazroñ pe tasadduq aaj ahl-e-hosh haiñ
terī nazroñ pe tasadduq aaj ahl-e-hosh haiñ
jān-e-jāñ terī nigāheñ mai-kada-bar-dosh haiñ
ishq meñ ahl-e-vafā kitne aziyyat-kosh haiñ
ḳhuun dil kā ho rahā hai lab magar ḳhāmosh haiñ
ai nigāh-e-shauq kis manzil meñ le aa.ī mujhe
donoñ aalam jalva-gāh-e-yār meñ rū-posh haiñ
mujh ko tanhā dekhne vaale na samjheñ rāz-e-ishq
merī tanhā.ī ke lamhe yaar ke āġhosh haiñ
'sarmad'-o-'mansūr'-o-'shiblī' kī nazar se dekhiye
hosh vaale haiñ vahī duniyā meñ jo behosh haiñ
lan-tarānī kī sadā par muskurāyā thā koī
jitne zarre tuur meñ the aaj tak behosh haiñ
ai 'fanā' bāda-kashī meñ ye unhī kā hai karam
un kī mast āñkhoñ se pī kar bhī sarāpā hosh haiñ
terī nazroñ pe tasadduq aaj ahl-e-hosh haiñ
jān-e-jāñ terī nigāheñ mai-kada-bar-dosh haiñ
ishq meñ ahl-e-wafā kitne aziyyat-kosh haiñ
ḳhun dil kā ho rahā hai lab magar ḳhāmosh haiñ
ai nigāh-e-shauq kis manzil meñ le aaī mujhe
donoñ aalam jalwa-gāh-e-yār meñ rū-posh haiñ
mujh ko tanhā dekhne wale na samjheñ rāz-e-ishq
merī tanhāī ke lamhe yar ke āġhosh haiñ
'sarmad'-o-'mansūr'-o-'shiblī' kī nazar se dekhiye
hosh wale haiñ wahī duniyā meñ jo behosh haiñ
lan-tarānī kī sadā par muskurāyā thā koī
jitne zarre tur meñ the aaj tak behosh haiñ
ai 'fanā' bāda-kashī meñ ye unhī kā hai karam
un kī mast āñkhoñ se pī kar bhī sarāpā hosh haiñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.