tere darbar mein aae hain le kar dil ka nazrana
tere darbār meñ aa.e haiñ le kar dil kā nazrāna
uThā nazreñ pilā sāġhar banā de ham ko dīvāna
maiñ kaise ab sambhālūñ dil karūñ kyūñ-kar na maiñ sajde
terī sūrat meñ aatī hai nazar tasvīr-e-jānāna
salāt-o-saum sajde or baitullāh kā ye haj
mubārak ho tujhe vaa.iz merā dil hai sanam-ḳhāna
biThā kar dil meñ ik but ko maiñ puujā us kī kartā huuñ
zamāne se nirālā hai mirā mashrab ye rindāna
maiñ jab thā kuchh nahīñ thā kuchh sabhī kuchh huuñ nahīñ ho kar
nazar aatā mirā jalva har ik sū be-hijābāna
tere qadmoñ pe rakh dī jab jabīn-e-shauq 'kāvish' ne
razā par terī raazī hai tirā saudā.ī dīvāna
tere darbar mein aae hain le kar dil ka nazrana
uTha nazren pila saghar bana de hum ko diwana
main kaise ab sambhaalun dil karun kyun-kar na main sajde
teri surat mein aati hai nazar taswir-e-jaanana
salat-o-saum sajde or baitullah ka ye haj
mubarak ho tujhe waiz mera dil hai sanam-KHana
biTha kar dil mein ek but ko main puja us ki karta hun
zamane se nirala hai mera mashrab ye rindana
main jab tha kuchh nahin tha kuchh sabhi kuchh hun nahin ho kar
nazar aata mera jalwa har ek su be-hijabana
tere qadmon pe rakh di jab jabin-e-shauq 'kawish' ne
raza par teri raazi hai tera saudai diwana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.