tere dard ki kahani mera raaz-e-zindagani
tere dard kī kahānī mirā rāz-e-zindagānī
tire husn kā fasāna hai mirā ġham-e-nihānī
mirā raaz hai agar tū to maiñ huuñ terī nishānī
na tirī hayāt faanī na mirī hayāt faanī
karūñ diid kī talab kyuuñ sunūñ kyuuñ maiñ lan-tarānī
hai abhī mirī nazar meñ vo adā-e-man ra.ānī
maiñ tujhe azal meñ kho kar rahā umr-bhar taḌaptā
isī justujū meñ āḳhir bujhī sham-e-zindagānī
mirī tīrah-baḳhtiyoñ kī na miTī kabhī syāhī
rahī umr-bhar farozāñ merī sham-e-zindagānī
vahī be-qarāriyāñ haiñ vahī iztirāb us kā
ba-juz us ke kyā hai 'hairat' dil-e-rāz kī kahānī
tere dard ki kahani mera raaz-e-zindagani
tere husn ka fasana hai mera gham-e-nihani
mera raaz hai agar tu to main hun teri nishani
na teri hayat fani na meri hayat fani
karun did ki talab kyun sunun kyun main lan-tarani
hai abhi meri nazar mein wo ada-e-man raani
main tujhe azal mein kho kar raha umr-bhar taDapta
isi justuju mein aaKHir bujhi sham-e-zindagani
meri tirah-baKHtiyon ki na miTi kabhi syahi
rahi umr-bhar farozan meri sham-e-zindagani
wahi be-qarariyan hain wahi iztirab us ka
ba-juz us ke kya hai 'hairat' dil-e-raaz ki kahani
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 130)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.