tere jaane ka wo manzar dilruba achchha laga
tere jaane kā vo manzar dilrubā achchhā lagā
raah meñ muḌ muḌ ke terā dekhnā achchhā lagā
mujh ko apnāne se pahle mere baare meñ tirā
baiTh kar tanhā.iyoñ meñ sochnā achchhā lagā
der se aane pe mere terī dilkash barhamī
vo ḳhafā honā tirā vo rūThnā achchhā lagā
tū ne jo tasvīr ke badle meñ bhejā thā gulāb
tujh sā vo tohfa tirā mujh ko baḌā achchhā lagā
vo nashīlī aañkh vo mastī kā aalam dekh kar
ruḳh pe tere gesūoñ kā jhūmnā achchhā lagā
thā vo tere pyaar kī pakkī nishānī is liye
sohnī mujh ko tirā kachchā ghaḌā achchhā lagā
ruuTh jaane par mire mujh ko manāne ke liye
ro ke 'purnam' haath us kā joḌnā achchhā lagā
tere jaane ka wo manzar dilruba achchha laga
rah mein muD muD ke tera dekhna achchha laga
mujh ko apnane se pahle mere bare mein tera
baiTh kar tanhaiyon mein sochna achchha laga
der se aane pe mere teri dilkash barhami
wo KHafa hona tera wo ruThna achchha laga
tu ne jo taswir ke badle mein bheja tha gulab
tujh sa wo tohfa tera mujh ko baDa achchha laga
wo nashili aankh wo masti ka aalam dekh kar
ruKH pe tere gesuon ka jhumna achchha laga
tha wo tere pyar ki pakki nishani is liye
sohni mujh ko tera kachcha ghaDa achchha laga
ruTh jaane par mere mujh ko manane ke liye
ro ke 'purnam' hath us ka joDna achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.