teri jhalak nigah ke har zawiye mein hai
terī jhalak nigāh ke har zāviye meñ hai
dekhūñ to shakl apnī mire aa.ine meñ hai
laTkī huī hai ruuh kī suulī pe zindagī
sāñsoñ kā silsila hai ki rassī gale meñ hai
kāñToñ kī pyaas ne mujhe khīñchā barahna-pā
jaise bharī sabīl har ik aable meñ hai
sāñsoñ kī oT le ke chalā huuñ charāġh-e-dil
siine meñ jo nahīñ vo ghuTan rāste meñ hai
merī sadā ke phuul chaḌhāte haiñ mujh pe log
zinda to huuñ magar mirā fan maqbare meñ hai
Dālūñ kahāñ paḌāv ki raste bhī haiñ ravāñ
manzil kahāñ mile ki vo ḳhud qāfile meñ hai
maiñ tujh ko chāhtā huuñ go hāsil na kar sakūñ
lazzat vo qurb meñ kahāñ jo fāsle meñ hai
paayā sila ye tujh ko 'muzaffar' ne DhūñDh kar
shāmil ab us kā naam bhī tere pate meñ hai
teri jhalak nigah ke har zawiye mein hai
dekhun to shakl apni mere aaine mein hai
laTki hui hai ruh ki suli pe zindagi
sanson ka silsila hai ki rassi gale mein hai
kanTon ki pyas ne mujhe khincha barahna-pa
jaise bhari sabil har ek aable mein hai
sanson ki oT le ke chala hun charagh-e-dil
sine mein jo nahin wo ghuTan raste mein hai
meri sada ke phul chaDhate hain mujh pe log
zinda to hun magar mera fan maqbare mein hai
Dalun kahan paDaw ki raste bhi hain rawan
manzil kahan mile ki wo KHud qafile mein hai
main tujh ko chahta hun go hasil na kar sakun
lazzat wo qurb mein kahan jo fasle mein hai
paya sila ye tujh ko 'muzaffar' ne DhunDh kar
shamil ab us ka nam bhi tere pate mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.