tera hijab uThana hai sirf mera kaam
tirā hijāb uThānā hai sirf merā kaam
agrche hai mirī hastī tire hijāb kā naam
mire fusūñ ne dikhā.ī hai tere ruḳh kī sahar
mire junūñ ne banā.ī hai terī zulf kī shaam
ye kā.ināt zamān-o-makāñ safar hī safar
na 'āshiqī mirī manzil na husn terā maqām
har ik maqām meñ hoshiyāriyoñ kī daad na chaah
ye ġhaflateñ bhī haiñ apnī jagah baḌā in'ām
tirī nigāh kī mastī se dil hai āvāra
huā ḳharāb isī mai-kade meñ merā jaam
tire karam kā bahut shukriya magar ai dost
baġhair fasal kī bārish hai dil ko terā payām
faqīh hech hai 'maikash' se terī har hujjat
vo aap apnā muqallid hai aap apnā imaam
tera hijab uThana hai sirf mera kaam
agrche hai meri hasti tere hijab ka nam
mere fusun ne dikhai hai tere ruKH ki sahar
mere junun ne banai hai teri zulf ki sham
ye kainat zaman-o-makan safar hi safar
na 'ashiqi meri manzil na husn tera maqam
har ek maqam mein hoshiyariyon ki dad na chah
ye ghaflaten bhi hain apni jagah baDa in'am
teri nigah ki masti se dil hai aawara
hua KHarab isi mai-kade mein mera jam
tere karam ka bahut shukriya magar ai dost
baghair fasal ki barish hai dil ko tera payam
faqih hech hai 'maikash' se teri har hujjat
wo aap apna muqallid hai aap apna imam
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 100)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.