tera KHayal kar ke dil-nashin maine
tirā ḳhayāl kar ke dil-nashīñ maiñ ne
miTā diyā hai jo thā farq-e-kufr-o-dīñ maiñ ne
mohabbat aur mohabbat meñ vasvase dil ke
banāyā ḳhud hī zamāna ko nukta-chīñ maiñ ne
junūn-e-ishq pe ab dekheñ kyā kahe duniyā
banā liyā hai garebāñ ko āstīñ maiñ ne
hazār hai mah-o-anjum meñ jalva-nagīñ
terā javāb na paayā magar kahīñ maiñ ne
sujūd-e-shauq pe duniyā ko kyuuñ ye hairat hai
chamakte zarroñ pe rakh dī agar jabīñ maiñ ne
tera KHayal kar ke dil-nashin main ne
miTa diya hai jo tha farq-e-kufr-o-din main ne
mohabbat aur mohabbat mein waswase dil ke
banaya KHud hi zamana ko nukta-chin main ne
junun-e-ishq pe ab dekhen kya kahe duniya
bana liya hai gareban ko aastin main ne
hazar hai mah-o-anjum mein jalwa-nagin
tera jawab na paya magar kahin main ne
sujud-e-shauq pe duniya ko kyun ye hairat hai
chamakte zarron pe rakh di agar jabin main ne
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 204)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.