Sufinama

tere ishq meñ zindagānī luTā dī

Behzad Lakhnavi

tere ishq meñ zindagānī luTā dī

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    tire ishq meñ zindagānī luTā

    ajab khel khelā javānī luTā

    nahīñ dil meñ dāġh-e-tamannā bhī baaqī

    unhīñ par se un nishānī luTā

    kuchh is tarah zālim ne dekhā ki ham ne

    na sochā na samjhā javānī luTā

    tumhāre kāran tumhārī badaulat

    tumhārī qasam zindagānī luTā

    adāoñ ko dekhā nigāhoñ ko dekhā

    hazāroñ tarah se javānī luTā

    ġhazab to ye hai ham ne mahfil mahfil

    sunā kar vafā kahānī luTā

    jahāñ koī dekhā hasīñ jalva-ārā

    vahīñ ham ne apnī javānī luTā

    nigāhoñ se saaqī ne sahbā-e-ulfat

    sitam ye hai tā-dūr-e-sānī luTā

    javānī ke jazboñ se allāh samjhe

    javānī jo dekhī javānī luTā

    bujhā.ī hai pyaas aaj dāman ham ne

    sharāb-e-nazar kar ke paanī luTā

    tumhīñ par se 'bahzād' ne be-ḳhudī meñ

    kyā dil tasadduq javānī luTā

    tere ishq meñ zindagānī luTā

    ajab khel khelā jawānī luTā

    nahīñ dil meñ dāġh-e-tamannā bhī baqī

    unhīñ par se un nishānī luTā

    kuchh is tarah zālim ne dekhā ki hum ne

    na sochā na samjhā jawānī luTā

    tumhāre kāran tumhārī badaulat

    tumhārī qasam zindagānī luTā

    adāoñ ko dekhā nigāhoñ ko dekhā

    hazāroñ tarah se jawānī luTā

    ġhazab to ye hai hum ne mahfil mahfil

    sunā kar wafā kahānī luTā

    jahāñ koī dekhā hasīñ jalwa-ārā

    wahīñ hum ne apnī jawānī luTā

    nigāhoñ se saqī ne sahbā-e-ulfat

    sitam ye hai tā-dūr-e-sānī luTā

    jawānī ke jazboñ se allāh samjhe

    jawānī jo dekhī jawānī luTā

    bujhāī hai pyas aaj dāman hum ne

    sharāb-e-nazar kar ke panī luTā

    tumhīñ par se 'bahzād' ne be-ḳhudī meñ

    kyā dil tasadduq jawānī luTā

    Source :
    • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 77)
    • Author : Farooq ‘Argali’
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now