teri duniya mein yarab kya nahin hai
tirī duniyā meñ yārab kyā nahīñ hai
magar mere liye duniyā nahīñ hai
ye āzār-e-junūñ achchhā nahīñ hai
magar is ke sivā chārā nahīñ hai
tirī mahfil meñ kyā hai kyā nahīñ hai
vo kyā samjhā.e jo samjhā nahīñ hai
ġham-e-uqbā ġham-e-duniyā ġham-e-dil
muqaddar meñ hamāre kyā nahīñ hai
ishāroñ par kisī ke chal rahā huuñ
kahāñ jaanā hai ye sochā nahīñ hai
mujhe tum se mohabbat hai azal se
ye vo parda hai jo parda nahīñ hai
ġhanīmat hai ki mere paas tum ho
jahāñ tum ho vahāñ ab kyā nahīñ hai
ab is duniyā meñ hai apnā Thikāna
jahāñ koī 'azīz' apnā nahīñ hai
teri duniya mein yarab kya nahin hai
magar mere liye duniya nahin hai
ye aazar-e-junun achchha nahin hai
magar is ke siwa chaara nahin hai
teri mahfil mein kya hai kya nahin hai
wo kya samjhae jo samjha nahin hai
gham-e-uqba gham-e-duniya gham-e-dil
muqaddar mein hamare kya nahin hai
ishaaron par kisi ke chal raha hun
kahan jaana hai ye socha nahin hai
mujhe tum se mohabbat hai azal se
ye wo parda hai jo parda nahin hai
ghanimat hai ki mere pas tum ho
jahan tum ho wahan ab kya nahin hai
ab is duniya mein hai apna Thikana
jahan koi 'aziz' apna nahin hai
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 89)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.