teri ek tirchhi nigah ne mere dil se parda uTha diya
tirī ek tirchhī nigāh ne mire dil se parda uThā diyā
jo karishma pesh-e-nazar na thā mujhe ek pal meñ dikhā diyā
tirī shaan kā maiñ nishān huuñ mujhe ishq ne ye pata diyā
khulī aañkh se tujhe dekhnā mire dil ne mujh ko batā diyā
mujhe apne dil pe nazar na thī kabhī is sadā kī ḳhabar na thī
jaras-e-alasto-be-rabbekum jo sunā na thā vo sunā diyā
tirī shakl āñkhoñ meñ rah ga.ī na havā rahī na havas rahī
vo jo naqsh-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl thā mere dil se tū ne miTā diyā
tū hī tū hai terī nigāh meñ tū hī mehr meñ tū hī maah meñ
ye asar hai tere kamāl kā jo 'azīz' kar ke sūjhā diyā
teri ek tirchhi nigah ne mere dil se parda uTha diya
jo karishma pesh-e-nazar na tha mujhe ek pal mein dikha diya
teri shan ka main nishan hun mujhe ishq ne ye pata diya
khuli aankh se tujhe dekhna mere dil ne mujh ko bata diya
mujhe apne dil pe nazar na thī kabhī is sada ki KHabar na thī
jaras-e-alasto-be-rabbekum jo suna na tha wo suna diya
teri shakl aankhon mein rah gai na hawa rahi na hawas rahi
wo jo naqsh-e-KHwab-o-KHayal tha mere dil se tu ne miTa diya
tu hi tu hai teri nigah mein tu hi mehr mein tu hi mah mein
ye asar hai tere kamal ka jo 'aziz' kar ke sujha diya
- Book : Irfan-e-Azeez Intikhab-e-Kalam-e-Urdu (Pg. 22)
- Author : Azeez Safipuri
- Publication : Urdu Department, Aligarh Muslim University (1946)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.