teri mahfil mein jo aaya ba-andaz-e-ajab aaya
tirī mahfil meñ jo aayā ba-andāz-e-ajab aayā
koī lailā-adā aayā koī majnūñ-laqab aayā
vo masjūd-e-malā.ik kisvat-e-insāñ meñ jab aayā
kabhī ādam-laqab aayā kabhī faḳhr-e-arab aayā
zabāñ jab ho chukī thī band bīmār-e-mohabbat kī
koī bahr-e-masīhā.ī agar aayā to kab aayā
nigāh-e-be-niyāzī se azal meñ us ne jab dekhā
tazalzul sar-zamīn-e-dil meñ bā-shor-o-shaġhab aayā
yahī un se kahā thā ham gunahgār-e-mohabbat haiñ
qayāmat ho ga.ī barpā sitam TuuTā ġhazab aayā
tirī mahfil ke āne-jāne vaale sāqiyā dekhe
na koī bā-ḳhabar niklā na koī bā-adab aayā
maiñ vo jān-e-tapīda thā ki merī saḳht-jānī kā
tamāshā dekhne 'afqar' masīhā-e-talab aayā
teri mahfil mein jo aaya ba-andaz-e-ajab aaya
koi laila-ada aaya koi majnun-laqab aaya
wo masjud-e-malaik kiswat-e-insan mein jab aaya
kabhi aadam-laqab aaya kabhi faKHr-e-arab aaya
zaban jab ho chuki thi band bimar-e-mohabbat ki
koi bahr-e-masihai agar aaya to kab aaya
nigah-e-be-niyazi se azal mein us ne jab dekha
tazalzul sar-zamin-e-dil mein ba-shor-o-shaghab aaya
yahi un se kaha tha hum gunahgar-e-mohabbat hain
qayamat ho gai barpa sitam TuTa ghazab aaya
teri mahfil ke aane-jaane wale saqiya dekhe
na koi ba-KHabar nikla na koi ba-adab aaya
main wo jaan-e-tapida tha ki meri saKHt-jaani ka
tamasha dekhne 'afqar' masiha-e-talab aaya
- Book : Nazargah (Pg. 92)
- Author : Afqar Warsi
- Publication : Siddiq Book Depot. Lucknow (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.