teri rah mein jo fana hue kahun kya jo un ka maqam hai
tirī raah meñ jo fanā hue kahūñ kyā jo un kā maqām hai
na ye āsmān hai na ye zamīñ na ye sub.h hai na ye shaam hai
tumheñ ilm kuchh jo ho ālimo to batā do mujh ko na chup raho
ki sharāb-e-ishq kā mast huuñ ye halāl hai ki harām hai
kabhī gird yaar ke ghūmnā kabhī dekh dekh ke jhūmnā
yahī hairatī kā hai mashġhala yahī dhun hai aur yahī kaam hai
kabhī sair-e-masjid-e-ishq kar to patā mile tujhe be-ḳhabar
jo imaam hai vahī muqtadī jo hai muqtadī vo imaam hai
kabhī gul meñ hai kabhī ḳhaar meñ kabhī barg meñ kabhī baar meñ
kabhī dair meñ kabhī arsh par kabhī rū-ba-rū sar-e-bām hai
kabhī justujū kabhī ġhaur hai ye namāz-e-ishq kā taur hai
na rukū hai na sujūd hai na qayām hai na salām hai
tujhe 'arsh' jis kī hai justujū jise DhūñDhtā hai tū kū-ba-kū
kabhī dil meñ hai vo ''chhupā huā kabhī rū-shanās-e-avām hai
teri rah mein jo fana hue kahun kya jo un ka maqam hai
na ye aasman hai na ye zamin na ye subh hai na ye sham hai
tumhein ilm kuchh jo ho aalimo to bata do mujh ko na chup raho
ki sharab-e-ishq ka mast hun ye halal hai ki haram hai
kabhi gird yar ke ghumna kabhi dekh dekh ke jhumna
yahi hairati ka hai mashghala yahi dhun hai aur yahi kaam hai
kabhi sair-e-masjid-e-ishq kar to pata mile tujhe be-KHabar
jo imam hai wahi muqtadi jo hai muqtadi wo imam hai
kabhi gul mein hai kabhi KHar mein kabhi barg mein kabhi bar mein
kabhi dair mein kabhi arsh par kabhi ru-ba-ru sar-e-baam hai
kabhi justuju kabhi ghaur hai ye namaz-e-ishq ka taur hai
na ruku hai na sujud hai na qayam hai na salam hai
tujhe 'arsh' jis ki hai justuju jise DhunDhta hai tu ku-ba-ku
kabhi dil mein hai wo chhupa hua kabhi ru-shanas-e-awam hai
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 213)
- Author : Allama Syed Zameeruddeen Ahmad
- Publication : Fine Art Press (1932)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.