toD kar ahd apna wo bad-ahd chalta ho gaya
toḌ kar ahd apnā vo bad-ahd chaltā ho gayā
maiñ to kyā samjhā huā thā yā-ḳhudā kyā ho gayā
āshiqoñ se bhī kabhī duniyā nahīñ ḳhālī rahī
maiñ ne parda kar liyā to qais paidā ho gayā
dekh kar ā.īna sajde shukr ke kartā hai qais
ya.anī kal majnūñ thā maiñ aur aaj lailā ho gayā
mere dil ko har taraf se un butoñ ne Dhā diyā
haaye ye allāh kā ghar thā jo sahrā ho gayā
thī bashar ke vāste bāzār duniyā kī namūd
dekhne aayā tamāsha ḳhud tamāsha ho gayā
dekh kar us huur ko pariyāñ bhī ye kahne lagīñ
ye hasīñ insāñ pariyoñ kā tamāsha ho gayā
likh gayā dīvānoñ kī fihrist meñ merā bhī naam
shukr hai us zulf-e-a.mbar bū kā saudā ho gayā
dekhtā hī rah gayā maiñ mushtarī kā apne muñh
chhīn kar hāthoñ se merā dil vo chaltā ho gayā
do hasīnoñ meñ mere dil ke liye takrār hai
daam itne baḌh ga.e aapas meñ jhagḌā ho gayā
ek māshūqa to duniyā dūsrā dīn-e-matīn
ab jise de de ḳhudā maiñ to ḳhudā kā ho gayā
ḳhair ho ushshāq kī saf meñ hai kyuuñ 'akbar' khaḌā
muttaqī insān thā ye aaj ise kyā ho gayā
toD kar ahd apna wo bad-ahd chalta ho gaya
main to kya samjha hua tha ya-KHuda kya ho gaya
aashiqon se bhi kabhi duniya nahin KHali rahi
main ne parda kar liya to qais paida ho gaya
dekh kar aaina sajde shukr ke karta hai qais
yani kal majnun tha main aur aaj laila ho gaya
mere dil ko har taraf se un buton ne Dha diya
haye ye allah ka ghar tha jo sahra ho gaya
thi bashar ke waste bazar duniya ki namud
dekhne aaya tamasha KHud tamasha ho gaya
dekh kar us hur ko pariyan bhi ye kahne lagin
ye hasin insan pariyon ka tamasha ho gaya
likh gaya diwanon ki fihrist mein mera bhi nam
shukr hai us zulf-e-ambar bu ka sauda ho gaya
dekhta hi rah gaya main mushtari ka apne munh
chhin kar hathon se mera dil wo chalta ho gaya
do hasinon mein mere dil ke liye takrar hai
dam itne baDh gae aapas mein jhagDa ho gaya
ek mashuqa to duniya dusra din-e-matin
ab jise de de KHuda main to KHuda ka ho gaya
KHair ho ushshaq ki saf mein hai kyun 'akbar' khaDa
muttaqi insan tha ye aaj ise kya ho gaya
- Book : Jazbaat-e-Akbar (Pg. 27)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.