tohmat-e-chand apne zimme dhar chale
tohmat-e-chand apne zimme dhar chale
jis liye aa.e the so ham kar chale
zindagī hai yā koī tūfān hai!
ham to is jiine ke hāthoñ mar chale
kyā hameñ kaam in guloñ se ai sabā
ek dam aa.e idhar, ūdhar chale
dosto! dekhā tamāshā yaañ kā sab
tum raho ḳhush ham to apne ghar chale
aah! bas mat jī jalā tab jāniye
jab koī afsūñ tirā us par chale
ek maiñ dil-rīsh huuñ vaisā hī dost
zaḳhm kitnoñ ke sunā hai bhar chale
sham.a ke mānind ham is bazm meñ
chashm-tar aa.e the dāman-tar chale
DhūñDhte haiñ aap se us ko pare
shaiḳh sāhib chhoḌ ghar, bāhar chale
ham na jaane paa.e bāhar aap se
vo hī aaḌe aa gayā jīdhar chale
ham jahāñ meñ aa.e the tanhā vale
saath apne ab use le kar chale
juuñ sharar ai hastī-e-be-būd yaañ
baare ham bhī apnī baaī bhar chale
sāqiyā! yaañ lag rahā hai chal-chalāv
jab talak bas chal sake, sāġhar chale
'dard' kuchh ma.alūm hai ye log sab
kis taraf se aa.e the kīdhar chale
tohmat-e-chand apne zimme dhar chale
jis liye aae the so hum kar chale
zindagī hai yā koī tūfān hai!
hum to is jine ke hāthoñ mar chale
kyā hameñ kaam in guloñ se ai sabā
ek dam aae idhar, ūdhar chale
dosto! dekhā tamāshā yañ kā sab
tum raho ḳhush hum to apne ghar chale
aah! bas mat jī jalā tab jāniye
jab koī afsūñ tirā us par chale
ek maiñ dil-rīsh huñ waisā hī dost
zaḳhm kitnoñ ke sunā hai bhar chale
shama ke mānind hum is bazm meñ
chashm-tar aae the dāman-tar chale
DhūñDhte haiñ aap se us ko pare
shaiḳh sāhib chhoḌ ghar, bāhar chale
hum na jaane pae bāhar aap se
wo hī aaḌe aa gayā jīdhar chale
hum jahāñ meñ aae the tanhā wale
sath apne ab use le kar chale
juñ sharar ai hastī-e-be-būd yañ
bare hum bhī apnī baī bhar chale
sāqiyā! yañ lag rahā hai chal-chalāw
jab talak bas chal sake, sāġhar chale
'dard' kuchh malūm hai ye log sab
kis taraf se aae the kīdhar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.