ulfaton ke daere achchhe lage
ulfatoñ ke dā.ere achchhe lage
chāhatoñ ke silsile achchhe lage
hijr kulfat dard-e-paiham iztirāb
dard ke sab zāviye achchhe lage
taare ginnā ashk se karnā vuzū
ishq tere rut jage achchhe lage
ziist ke dariyā meñ sat.h-e-āb par
ranj-o-ġham ke bulbule achchhe lage
hasratoñ kī laash rakh kar sāmne
paḌhnā us par marsiye achchhe lage
ek se māñgā hazāroñ ne diye
muft ke ye mashvare achchhe lage
shā.irī tasnīf ḳhidmat qaum kī
mujh ko tīnoñ mashġhale achchhe lage
zindagī meñ saath chalne ke liye
aap jaise manchale achchhe lage
apnī manzil kī rakhe na jo ḳhabar
kis tarah vo qāfile achchhe lage
shah-e-jahāñ tum ko mubārak taaj ho
ham ko apne maqbare achhe lage
sun ke ahmad kī ġhazal vo kah uThe
ye radīf-o-qāfiye achchhe lage
ulfaton ke daere achchhe lage
chahaton ke silsile achchhe lage
hijr kulfat dard-e-paiham iztirab
dard ke sab zawiye achchhe lage
tare ginna ashk se karna wuzu
ishq tere rut jage achchhe lage
zist ke dariya mein sath-e-ab par
ranj-o-gham ke bulbule achchhe lage
hasraton ki lash rakh kar samne
paDhna us par marsiye achchhe lage
ek se manga hazaron ne diye
muft ke ye mashware achchhe lage
shairi tasnif KHidmat qaum ki
mujh ko tinon mashghale achchhe lage
zindagi mein sath chalne ke liye
aap jaise manchale achchhe lage
apni manzil ki rakhe na jo KHabar
kis tarah wo qafile achchhe lage
shah-e-jahan tum ko mubarak taj ho
hum ko apne maqbare achhe lage
sun ke ahmad ki ghazal wo kah uThe
ye radif-o-qafiye achchhe lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.