ishq-o-junun mein qalb ye na-shad rah gaya
ishq-o-junūñ meñ qalb ye nā-shād rah gayā
jo bhūlnā thā mujh ko vahī yaad rah gayā
miTtī nahīñ hai ishq-o-mohabbat kī dāstāñ
sab kī zabāñ pe qissa-e-farhād rah gayā
phāñsī kā phandā chuum ke aage jo maiñ baḌhā
maqtal meñ mujh ko dekhtā jallād rah gayā
manzar-e-husain saare nigāhoñ se haT ga.e
āñkhoñ meñ sirf paikar-e-shamshād rah gayā
barbādī-e-nasīb se barbād to huā
bār-e-alam uThāne ko ābād rah gayā
un ke sitam ke aage hamesha yahi huā
siina hamārā sūrat-e-faulād rah gayā
zālim ne ek bhī na sunī us ke rū-ba-rū
karatā huā maiñ minnat-o-farhād rah gayā
tār-e-qafas ko toḌ ke āzād ho ga.ī
chiḌiye kā haal dekhtā sayyād rah gayā
ishq-o-junun mein qalb ye na-shad rah gaya
jo bhulna tha mujh ko wahi yaad rah gaya
miTti nahin hai ishq-o-mohabbat ki dastan
sab ki zaban pe qissa-e-farhad rah gaya
phansi ka phanda chum ke aage jo main baDha
maqtal mein mujh ko dekhta jallad rah gaya
manzar-e-husain sare nigahon se haT gae
aankhon mein sirf paikar-e-shamshad rah gaya
barbaadi-e-nasib se barbaad to hua
bar-e-alam uThane ko aabaad rah gaya
un ke sitam ke aage hamesha yahi hua
sina hamara surat-e-faulad rah gaya
zalim ne ek bhi na suni us ke ru-ba-ru
karata hua main minnat-o-farhad rah gaya
tar-e-qafas ko toD ke aazad ho gai
chiDiye ka haal dekhta sayyaad rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.