phuTa nasib mera hoti hai jag hansai
phūTā nasīb merā hotī hai jag hañsā.ī
maiñ vo huuñ jis ko duniyā bilkul na raas aa.ī
afsos hai bahut hī ke aaj is lahad meñ
daulat na kaam aa.ī shohrat na kaam aa.ī
sāñsoñ kī ab ye maalā hamdam na TuuT jaa.e
taḌpā rahī hai behad mujh ko tirī judā.ī
mere habīb aao mere tabīb aao
zaḳhm-e-jigar pe rakh do aa kar mere davā.ī
kar letā āshiqī se sach-much maiñ sachchī tauba
zulfoñ kī qaid se gar miltī mujhe rihā.ī
ġhairoñ kā kyā bharosa le saath apne tosha
mulk-e-adam ke raahī manzil qarīb aa.ī
aañsū bahā rahā hai tanhā.iyoñ meñ 'ahmad'
jab se huī hai us ko dilbar se āshnā.ī
phuTa nasib mera hoti hai jag hansai
main wo hun jis ko duniya bilkul na ras aai
afsos hai bahut hi ke aaj is lahad mein
daulat na kaam aai shohrat na kaam aai
sanson ki ab ye mala hamdam na TuT jae
taDpa rahi hai behad mujh ko teri judai
mere habib aao mere tabib aao
zaKHm-e-jigar pe rakh do aa kar mere dawai
kar leta aashiqi se sach-much main sachchi tauba
zulfon ki qaid se gar milti mujhe rihai
ghairon ka kya bharosa le sath apne tosha
mulk-e-adam ke rahi manzil qarib aai
aansu baha raha hai tanhaiyon mein 'ahmad'
jab se hui hai us ko dilbar se aashnai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.