lazim hai tammul tujhe taqrir se pahle
lāzim hai ta'ammul tujhe taqrīr se pahle
tahqīq se tanqīd se tahrīr se pahle
insāf milā ba.ad meñ lekin vo adhūrā
maiñ qatl huā zulm kī shamshīr se pahle
ai muft ke muftī tu zarā hosh meñ rahnā
sau baar hazar chāhiye takfīr se pahle
insāf ke mandir pe kare kaun bharosa
detā hai sazā aaj jo taqsīr se pahle
ābād hameñ honā hai barbād to ho leñ
taḳhrīb bhī kuchh chāhiye ta.amīr se pahle
ye daur qalam kā hai qalam kā hai zamāna
hāthoñ meñ qalam lījiye shamshīr se pahle
har aan rahe payash-e-nazar ye bhī haqīqat
miltā nahīñ kuchh vaqt se taqdīr se pahle
ai kaash duāoñ meñ mirī aisā asar ho
maqsūd mile nāla-e-shab-gīr se pahle
is mulak ko ye tāj-mahal kis ne diyā hai
ik shāh-e-jahāñ ibn-e-jahāñgīr se pahle
duniyā kī sitam-koshī se ghabrāo na yaaro
tahqīr huā kartī hai tauqīr se pahle
dushman ke kaleje ko hilā dījiye 'ahmad'
jañgoñ meñ sadā nāra-e-takbīr se pahle
lazim hai ta'ammul tujhe taqrir se pahle
tahqiq se tanqid se tahrir se pahle
insaf mila baad mein lekin wo adhura
main qatl hua zulm ki shamshir se pahle
ai muft ke mufti tu zara hosh mein rahna
sau bar hazar chahiye takfir se pahle
insaf ke mandir pe kare kaun bharosa
deta hai saza aaj jo taqsir se pahle
aabaad hamein hona hai barbaad to ho len
taKHrib bhi kuchh chahiye tamir se pahle
ye daur qalam ka hai qalam ka hai zamana
hathon mein qalam lijiye shamshir se pahle
har aan rahe payash-e-nazar ye bhi haqiqat
milta nahin kuchh waqt se taqdir se pahle
ai kash duaon mein meri aisa asar ho
maqsud mile nala-e-shab-gir se pahle
is mulak ko ye taj-mahal kis ne diya hai
ek shah-e-jahan ibn-e-jahangir se pahle
duniya ki sitam-koshi se ghabrao na yaro
tahqir hua karti hai tauqir se pahle
dushman ke kaleje ko hila dijiye 'ahmad'
jangon mein sada nara-e-takbir se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.