Sufinama

dhyan mahal mein bhi jo gauri aane se sharmae

Tufail Hoshiarpuri

dhyan mahal mein bhi jo gauri aane se sharmae

Tufail Hoshiarpuri

MORE BYTufail Hoshiarpuri

    dhyān mahal meñ bhī jo gaurī aane se sharmā.e

    darshan jal se phir koī kaise nainan pyaas bujhā.e

    tāroñ chilman se jhāñke phūloñ meñ muskā.e

    rūp-nagar is raanī ghuñghaT kaun uThā.e

    gore mukh par kaalī laT kuchh aisī chhavi dikhlā.e

    chāñd pe jaise jhūm-jhūm kar naag koī lahrā.e

    dūdhiyā saarī meñ damke hai yuuñ gorī ruup

    jal dhārā ke nīche jaise koī aag jalā.e

    chāñd hai jhūmar taare us cholī ke haiñ phuul

    gagan manDal par baiThī hai vo apnī sej sajā.e

    ham haiñ dhartī ke añdhiyāre vo ākāsh jot

    añdhiyārā jotī se āḳhir kyuuñ kar nain milā.e

    janam janam se madhur milan aa.ī hai yahī riit

    jaan kare jo hans kar arpan darshan bhī vahī paa.e

    dhyan mahal mein bhi jo gauri aane se sharmae

    darshan jal se phir koi kaise nainan pyas bujhae

    taron ki chilman se jhanke phulon mein muskae

    rup-nagar ki is rani ka ghunghaT kaun uThae

    gore mukh par kali laT kuchh aisi chhawi dikhlae

    chand pe jaise jhum-jhum kar nag koi lahrae

    dudhiya sari mein damke hai yun gori ka rup

    jal dhaara ke niche jaise koi aag jalae

    chand hai jhumar tare us ki choli ke hain phul

    gagan manDal par baiThi hai wo apni sej sajae

    hum hain dharti ke andhiyare wo aakash ki jot

    andhiyara joti se aaKHir kyun kar nain milae

    janam janam se madhur milan ki aai hai yahi rit

    jaan kare jo hans kar arpan darshan bhi wahi pae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now