jiwan ek athah samundar aar na jis ka par
jīvan ek athāh samundar aar na jis kā paar
zor nahīñ hai kuchh nayyā par bas meñ nahīñ patvār
mauj-mauj girdāb banī hai lahar-lahar mañjdhār
pyaar kī nayyā binā khivayyā kaise utare paar
jaake kāran ye sab kuchh thā jā ke base pardes
kaahe Dāroñ nainan kajrā kaahe karūñ siñgār
be-sudh ho kar gervā laa.ī tan-man liyā jalā.e
chandā samjhī jise chakorī niklā vo añgār
ab bhī nainoñ meñ jaltī hai us ke pyaar kī jot
batlā.eñ kyā kis ne luuTā sapnoñ kā sansār
jaan ke jo dukh-dard se mere banā rahā anjān
us bairī ke sañg hue haiñ mere naināñ chaar
jo dukh jaan ke mere dil ke ban jaa.e anjān 'tufail'
us bairī ke sañg kiye haiñ maiñ ne naināñ chaar
jiwan ek athah samundar aar na jis ka par
zor nahin hai kuchh nayya par bas mein nahin patwar
mauj-mauj girdab bani hai lahar-lahar manjdhaar
pyar ki nayya bina khiwayya kaise utare par
jake karan ye sab kuchh tha ja ke base pardes
kahe Daron nainan kajra kahe karun singar
be-sudh ho kar gerwa lai tan-man liya jalae
chanda samjhi jise chakori nikla wo angar
ab bhi nainon mein jalti hai us ke pyar ki jot
batlaen kya kis ne luTa sapnon ka sansar
jaan ke jo dukh-dard se mere bana raha anjaan
us bairi ke sang hue hain mere nainan chaar
jo dukh jaan ke mere dil ke ban jae anjaan 'tufail'
us bairi ke sang kiye hain main ne nainan chaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.