Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

is duniya mein yun to mile hain pyar ke dawedar bahut

Tufail Hoshiarpuri

is duniya mein yun to mile hain pyar ke dawedar bahut

Tufail Hoshiarpuri

MORE BYTufail Hoshiarpuri

    is duniyā meñ yuuñ to mile haiñ pyaar ke da.avedār bahut

    mushkil meñ kaam ek na aayā dekhe ham ne yaar bahut

    pyaar rāheñ avval avval sahl dikhā.ī detī thiiñ

    āḳhir āḳhir ’ilm huā ye manzil hai dushvār bahut

    muñh ke mīThe man ke khoTe jaan ke vo dushman nikle

    is nagrī meñ jin ko ham ne samjhā thā ġham-ḳhvār bahut

    jin āñkhoñ meñ Duub ke ham ne chāhā thā sukh pā.eñge

    un āñkhoñ meñ Duub ke ham ne paa.e haiñ āzār bahut

    qismat se miltā hai sāhil ummīdoñ kashtī ko

    sāhil se sāhil tak varna phaile haiñ mañjdhār bahut

    aap ke gītoñ duniyā meñ baat anokhī hai pyāre

    sher is rañg meñ kahne vaale dekhe haiñ fankār bahut

    is duniya mein yun to mile hain pyar ke dawedar bahut

    mushkil mein kaam ek na aaya dekhe hum ne yar bahut

    pyar ki rahen awwal awwal sahl dikhai deti thin

    aaKHir aaKHir ’ilm hua ye manzil hai dushwar bahut

    munh ke miThe man ke khoTe jaan ke wo dushman nikle

    is nagri mein jin ko hum ne samjha tha gham-KHwar bahut

    jin aankhon mein Dub ke hum ne chaha tha sukh paenge

    un aankhon mein Dub ke hum ne pae hain aazar bahut

    qismat se milta hai sahil ummidon ki kashti ko

    sahil se sahil tak warna phaile hain manjdhaar bahut

    aap ke giton ki duniya mein baat anokhi hai pyare

    sher is rang mein kahne wale dekhe hain fankar bahut

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now