ye sansar hai teri rachna ye jag teri maya hai
ye sansār hai terī rachnā ye jag terī maayā hai
mujh par parda Daal ke tuune kaisā khel rachāyā hai
kitnī sundar kitnī pyārī phulvārī hai duniyā kī
phūloñ aur kāñToñ ne mil kar kaisā rañg jamāyā hai
chandarmā aur sūraj donoñ tujh se hī lete haiñ jyoti
dhartī aur ākāsh pe tere ruup kā ujlā saayā hai
ujiyāroñ ke sañg añdhere phūloñ ke sañg kāñTe haiñ
din kā sāthī rain suhānī dhuup kā sāthī saayā hai
tāroñ kī lishkār meñ tuune phūloñ kī mahkār meñ tuune
kaise kaise bhes meñ tuune apnā ruup chhupāyā hai
jis ne tujh ko man se chāhā jot milī hai juutī meñ
rañg meñ tere jo bhī Duubā jotī jot samāyā hai
bastī-bastī jañgal-jañgal DhūñD DhūñD kar haar ga.e
man mandir ke dvaar khule to terā darshan paayā hai
terī mahimā tū hī jaane aur na jaane daatā koye
soch soch kar khoj khoj kar haath yahī kuchh aayā hai
ye sansar hai teri rachna ye jag teri maya hai
mujh par parda Dal ke tune kaisa khel rachaya hai
kitni sundar kitni pyari phulwari hai duniya ki
phulon aur kanTon ne mil kar kaisa rang jamaya hai
chandarma aur suraj donon tujh se hi lete hain jyoti
dharti aur aakash pe tere rup ka ujla saya hai
ujiyaron ke sang andhere phulon ke sang kanTe hain
din ka sathi rain suhani dhup ka sathi saya hai
taron ki lishkar mein tune phulon ki mahkar mein tune
kaise kaise bhes mein tune apna rup chhupaya hai
jis ne tujh ko man se chaha jot mili hai juti mein
rang mein tere jo bhi Duba joti jot samaya hai
basti-basti jangal-jangal DhunD DhunD kar haar gae
man mandir ke dwar khule to tera darshan paya hai
teri mahima tu hi jaane aur na jaane data koye
soch soch kar khoj khoj kar hath yahi kuchh aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.