teri khoj mein basti basti jangal jangal chhan phire
teri khoj mein basti basti jangal jangal chhan phire
Tufail Hoshiarpuri
MORE BYTufail Hoshiarpuri
terī khoj meñ bastī bastī jañgal jañgal chhān phire
jaise ham anjān ga.e the vaise hī anjān phire
darshan jal ke pyāse naināñ bin-darshan pathrā bhī ga.e
nainoñ kī jotī kā āḳhir de kar ham balidān phire
khoj na paayā us mandir kā jis meñ vaas hai pītam kā
palak palak par kyā kyā lekar puujā kā sāmān phire
dhuul piyā ke charan kañval kī māthe tilak lagāne ko
masjid masjid mandir mandir ham ik ik asthān phire
kis kāran aayā thā jag meñ aane kā kyā matlab thā
bhuul ke sab kuchh dhan daulat ke pīchhe har insān phire
pī darshan kī ḳhātir ham ne bhagvan bhes banāyā thā
jogī ban kar nikle the ham rogī lekar jaan phire
pī ke rañg bhavan tak paayā rasta soch kī lahroñ kā
darshan jal ke pyāse naināñ lekar ham hairān phire
rūp-nagar meñ pī ke kāran ga.e baḌe armānoñ se
rūp-nagar ke kunj kunj meñ khā kar naināñ baan phire
ham us ko pahchān hī leñge ik din man ke darpan meñ
laakh vo gorī sundar mukh par ruup kā ghuñghaT taan phire
sachchī jot jalā kar dekhe koī man ke mandir meñ
prem bhaav se pīchhe pīchhe bande ke bhagvān phire
teri khoj mein basti basti jangal jangal chhan phire
jaise hum anjaan gae the waise hi anjaan phire
darshan jal ke pyase nainan bin-darshan pathra bhi gae
nainon ki joti ka aaKHir de kar hum balidan phire
khoj na paya us mandir ka jis mein was hai pitam ka
palak palak par kya kya lekar puja ka saman phire
dhul piya ke charan kanwal ki mathe tilak lagane ko
masjid masjid mandir mandir hum ek ek asthan phire
kis karan aaya tha jag mein aane ka kya matlab tha
bhul ke sab kuchh dhan daulat ke pichhe har insan phire
pi darshan ki KHatir hum ne bhagwan bhes banaya tha
jogi ban kar nikle the hum rogi lekar jaan phire
pi ke rang bhawan tak paya rasta soch ki lahron ka
darshan jal ke pyase nainan lekar hum hairan phire
rup-nagar mein pi ke karan gae baDe armanon se
rup-nagar ke kunj kunj mein kha kar nainan ban phire
hum us ko pahchan hi lenge ek din man ke darpan mein
lakh wo gori sundar mukh par rup ka ghunghaT tan phire
sachchi jot jala kar dekhe koi man ke mandir mein
prem bhaw se pichhe pichhe bande ke bhagwan phire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.