sanjh sawere nain bichha kar rah takun main sajan ki
sanjh sawere nain bichha kar rah takun main sajan ki
Tufail Hoshiarpuri
MORE BYTufail Hoshiarpuri
sāñjh savere nain bichhā kar raah takūñ maiñ sājan kī
raam hī jaane kab chamkegī qismat mere āñgan kī
ghar-ghar merī priit kā charchā ghar-ghar mere prem kī baat
pañkh binā hī uḌ jaatī hai baat diloñ ke bandhan kī
akhiyāñ jab se nain banī haiñ pūchh na jī kā haal sakhī
añg-añg se phūT-phūT kar ḳhushbū nikle chandan kī
nain churā kar jab se saiyāñ duur kahīñ pardes ga.e
birahin kī añkhiyan se barse bin sāvan rut sāvan kī
pardesī ke sañg ga.ī thī bhuul na jaa.e raah kahīñ
luuT ke aanā bhuul ga.ī hai jot hamāre nainan kī
sab sakhiyoñ ne phaag manāyā ghar ghar prem kā raas rachā
mere ghar meñ giit na aa.e aur na kabhī paa.el chhankī
māthe par chandan kā Tiikā ban kar man kā diip jale
āñkhoñ meñ ro-ro kar kajrā kahe kahānī birhan kī
pītam kā man merā man hai us kī aashā merī hai
pī ke naināñ mere naināñ daasī huuñ maiñ sautan kī
haal pareshāñ baal pareshāñ khoī khoī rahtī huuñ
aisā jaadū Daar ga.e haiñ sudh bisrā.ī tan-man kī
sanjh sawere nain bichha kar rah takun main sajan ki
ram hi jaane kab chamkegi qismat mere aangan ki
ghar-ghar meri prit ka charcha ghar-ghar mere prem ki baat
pankh bina hi uD jati hai baat dilon ke bandhan ki
akhiyan jab se nain bani hain puchh na ji ka haal sakhi
ang-ang se phuT-phuT kar KHushbu nikle chandan ki
nain chura kar jab se saiyan dur kahin pardes gae
birahin ki ankhiyan se barse bin sawan rut sawan ki
pardesi ke sang gai thi bhul na jae rah kahin
luT ke aana bhul gai hai jot hamare nainan ki
sab sakhiyon ne phag manaya ghar ghar prem ka ras racha
mere ghar mein git na aae aur na kabhi pael chhanki
mathe par chandan ka Tika ban kar man ka dip jale
aankhon mein ro-ro kar kajra kahe kahani birhan ki
pitam ka man mera man hai us ki aasha meri hai
pi ke nainan mere nainan dasi hun main sautan ki
haal pareshan baal pareshan khoi khoi rahti hun
aisa jadu Dar gae hain sudh bisrai tan-man ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.