prem ki aag mein aise jal
prem kī aag meñ aise jal
māthe par bhī paḌe na bal
dukh aur sukh kī baat na chheḌ
dukh-sukh hai karmoñ kā phal
jīvan āḳhir sapnā hai
kyā kuTiyā kyā shīsh-mahal
prem kī agnī meñ ik din
aañsū bhī jaate haiñ jal
birahā meñ ban jaatā hai
sāl-sāl kā ik-ik pal
jo karnā hai kar le aaj
aaj na phir aa.egī gal
honī ho kar rahtī hai
soch na us kā koī hal
prem kī raah meñ kāñTe haiñ
tū phūloñ se bhī komal
maiñ ban-bāsī dukhiyārā
ruk jā mere saath na chal
rūp-rañg par naaz na kar
jā.egā ye sūraj Dhal
honā chāhe tū jo amar
pī le prem kā gañgā-jal
prem ki aag mein aise jal
mathe par bhi paDe na bal
dukh aur sukh ki baat na chheD
dukh-sukh hai karmon ka phal
jiwan aaKHir sapna hai
kya kuTiya kya shish-mahal
prem ki agni mein ek din
aansu bhi jate hain jal
biraha mein ban jata hai
sal-sal ka ik-ik pal
jo karna hai kar le aaj
aaj na phir aaegi gal
honi ho kar rahti hai
soch na us ka koi hal
prem ki rah mein kanTe hain
tu phulon se bhi komal
main ban-basi dukhiyara
ruk ja mere sath na chal
rup-rang par naz na kar
jaega ye suraj Dhal
hona chahe tu jo amar
pi le prem ka ganga-jal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.