dur kahin pardes mein jab se mera sajan rahta hai
dur kahin pardes mein jab se mera sajan rahta hai
Tufail Hoshiarpuri
MORE BYTufail Hoshiarpuri
duur kahīñ pardes meñ jab se merā sājan rahtā hai
sāvan rut ke ba.ad bhī merī aañkh meñ sāvan rahtā hai
ai ghanghor ghatāo barso sautan hī kī duniyā meñ
duur des meñ merā sājan jis ke kāran rahtā hai
sab ke bālam barkhā rut meñ lauT ke ghar aa jaate haiñ
jhūloñ kī rut meñ bhī merā suunā āñgan rahtā hai
kitne sāvan aur likhā hai ronā merī qismat meñ
sāñsoñ kā aahoñ se dekheñ kab tak bandhan rahtā hai
takte takte baaT piyā kī patthar ban ga.e nain mire
aas ke diip jalā.e phir bhī dukhiyārā man rahtā hai
dur kahin pardes mein jab se mera sajan rahta hai
sawan rut ke baad bhi meri aankh mein sawan rahta hai
ai ghanghor ghatao barso sautan hi ki duniya mein
dur des mein mera sajan jis ke karan rahta hai
sab ke baalam barkha rut mein lauT ke ghar aa jate hain
jhulon ki rut mein bhi mera suna aangan rahta hai
kitne sawan aur likha hai rona meri qismat mein
sanson ka aahon se dekhen kab tak bandhan rahta hai
takte takte baT piya ki patthar ban gae nain mere
aas ke dip jalae phir bhi dukhiyara man rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.