main kuTiya mein rahne wala tum basi ho rang bhawan ke
main kuTiya mein rahne wala tum basi ho rang bhawan ke
Tufail Hoshiarpuri
MORE BYTufail Hoshiarpuri
maiñ kuTiyā meñ rahne vaalā tum baasī ho rañg bhavan ke
nainoñ kī mizrāb se dekho taar na chheḌo mere man ke
is sansār meñ ruup kī kaliyāñ dhan ke tarāzū meñ tultī haiñ
dhan vāloñ meñ baT jaate haiñ sundar sapne har nirdhan ke
apnī raah meñ kitnī ūñchī sone kī dīvār khaḌī hai
maiñ huuñ be-par tum ho be-bas giit na chheḌo madhur milan ke
mere nainoñ kā ujyārā ban na sakegī maañg tumhārī
toḌ ke le aa.uuñ maiñ be-shak chāñd sitāre niil gagan ke
sone chāñdī ke phūloñ se pūjegā jag ruup tumhārā
mere jīvan kī jholī meñ le de ke haiñ haar añsuan ke
mere kāran hoñ na pareshāñ apnī zulfoñ ko samjhā lo
mujh se sab kuchh kah dete haiñ jhoñke aakar mast pavan ke
phuul samajh kar sho.aloñ ko tum apne āñchal meñ mat Daalo
gul kar do sab aas kī sham.eñ diip bujhā do prem gagan ke
main kuTiya mein rahne wala tum basi ho rang bhawan ke
nainon ki mizrab se dekho tar na chheDo mere man ke
is sansar mein rup ki kaliyan dhan ke taraazu mein tulti hain
dhan walon mein baT jate hain sundar sapne har nirdhan ke
apni rah mein kitni unchi sone ki diwar khaDi hai
main hun be-par tum ho be-bas git na chheDo madhur milan ke
mere nainon ka ujyara ban na sakegi mang tumhaari
toD ke le aaun main be-shak chand sitare nil gagan ke
sone chandi ke phulon se pujega jag rup tumhaara
mere jiwan ki jholi mein le de ke hain haar ansuan ke
mere karan hon na pareshan apni zulfon ko samjha lo
mujh se sab kuchh kah dete hain jhonke aakar mast pawan ke
phul samajh kar shoalon ko tum apne aanchal mein mat Dalo
gul kar do sab aas ki shamen dip bujha do prem gagan ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.