tujh sa na tha koi na koi hai hasin kahin
tujh sa na tha koi na koi hai hasin kahin
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
tujh sā na thā koī na koī hai hasīñ kahīñ
tū be-misāl hai tirā saanī nahīñ kahīñ
apnā junūñ meñ madd-e-muqābil nahīñ kahīñ
dāman kahīñ jeb kahīñ āstīñ kahīñ
zāhid ke sāmne jo ho vo nāznīñ kahīñ
dil ho kahīñ huzūr kā duniyā-o-dīñ kahīñ
ik tere āstāñ pe jhukī hai hazār baar
varna kahāñ jhukī hai hamārī jabīñ kahīñ
dil kā lagāo dil kī lagī dil lagī nahīñ
aisā na ho ki dil hī luTā deñ hamiñ kahīñ
kyā kahiye kis taraf ga.e jalve bikher ke
vo sāmne to the abhī mere yahīñ kahīñ
guzregī ab to khūcha-e-jānāñ meñ zindagī
rahnā paḌegā ab hameñ jā kar vahīñ kahīñ
dil se to haiñ qarīb jo āñkhoñ se duur haiñ
maujūd aas paas haiñ vo bil-yaqīñ kahīñ
nazroñ kī aur baat hai dil kī hai aur baat
bāteñ jo mere dil meñ haiñ ab tak nahīñ kahīñ
ai taaza vāridān-e-chaman hoshiyār baash
bijlī chamak rahī hai chaman ke qarīñ kahīñ
merā zamīr apnī jagah par hai mutma.in
apnā samajh ke un se jo bāteñ kahīñ kahīñ
dil ne bahut kahā ki tumheñ mehrbāñ kahūñ
is Dar se chup rahā ki na kah do nahīñ kahīñ
aate hī ham to khūcha-e-jānāñ meñ luT ga.e
dil kho gayā 'nasīr' hamārā yahīñ kahīñ
tujh sa na tha koi na koi hai hasin kahin
tu be-misal hai tera sani nahin kahin
apna junun mein madd-e-muqabil nahin kahin
daman kahin jeb kahin aastin kahin
zahid ke samne jo ho wo naznin kahin
dil ho kahin huzur ka duniya-o-din kahin
ek tere aastan pe jhuki hai hazar bar
warna kahan jhuki hai hamari jabin kahin
dil ka lagao dil ki lagi dil lagi nahin
aisa na ho ki dil hi luTa den hamin kahin
kya kahiye kis taraf gae jalwe bikher ke
wo samne to the abhi mere yahin kahin
guzregi ab to khucha-e-jaanan mein zindagi
rahna paDega ab hamein ja kar wahin kahin
dil se to hain qarib jo aankhon se dur hain
maujud aas pas hain wo bil-yaqin kahin
nazron ki aur baat hai dil ki hai aur baat
baaten jo mere dil mein hain ab tak nahin kahin
ai taza waridan-e-chaman hoshiyar bash
bijli chamak rahi hai chaman ke qarin kahin
mera zamir apni jagah par hai mutmain
apna samajh ke un se jo baaten kahin kahin
dil ne bahut kaha ki tumhein mehrban kahun
is Dar se chup raha ki na kah do nahin kahin
aate hi hum to khucha-e-jaanan mein luT gae
dil kho gaya 'nasir' hamara yahin kahin
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 867)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.