tujhe dekhna hai KHuda-talab jo ata-e-surur dusra
tujhe dekhnā hai ḳhudā-talab jo atā-e-surūr dūsrā
kabhī māñg-e-surūr dūsrā se ḳhudā-e-surūr dūsrā
dil-o-dīda donoñ haiñ asal meñ dosrā-e-surū dūsrā
ki yañh kisī kā guzar nahīñ hai sivā-e-surūr dūsrā
ye sifāt-e-haq haiñ jo ban ga.ī haiñ qabā-e-surūr dūsrā
ki liqā-e-ḳhāliq dūsrā hai liqā-e-surūr dūsrā
koī dūsrā nahīñ dūsrā meñ sivā.e surūr dūsrā
ki azal se qāmat-e-zāt par qabā-e-surūr dūsrā
ubhar aa.eñ ka.aba kī azmateñ nikhar aa.eñ arsh kī rif.ateñ
ye makān-e-kHvāja-e-lā-makāñ ye sarā-e-surūr dūsrā
qadam-e-rasūl ko chhoḌ kar na havā pe uḌ na falak pe jā
sar-e-arsh bhī hai jhukā huā tahā pā-e-surūr dūsrā
tire dil kī aañkh agar khule to maiñ dekhtā huuñ vo dekh le
ki jabīn-e-ka.aba pe naqsh hai kaf-e-pā-e-surūr dūsrā
mujhe ārzū-e-madīna hai ruḳh-e-ka.aba sū-e-madīna hai
vo agar banā.e ḳhalīl hai ye banā.e surūr dūsrā
vo rasūl haiñ vo karīm haiñ vo ra.uuf haiñ vo rahīm haiñ
sunī ham ne ḳhāliq-e-dūsrā se sanā-e-surūr dūsrā
na jamī nazar meñ shah-e-nashīnī na kisī kī kaj-kulahī jachī
ye 'zahīn'-e-mast-e-ḳhudā magar hai gadā-e-surū dūsrā
tujhe dekhna hai KHuda-talab jo ata-e-surur dusra
kabhi mang-e-surur dusra se KHuda-e-surur dusra
dil-o-dida donon hain asal mein dosra-e-suru dusra
ki yanh kisi ka guzar nahin hai siwa-e-surur dusra
ye sifat-e-haq hain jo ban gai hain qaba-e-surur dusra
ki liqa-e-KHaliq dusra hai liqa-e-surur dusra
koi dusra nahin dusra mein siwae surur dusra
ki azal se qamat-e-zat par qaba-e-surur dusra
ubhar aaen kaba ki azmaten nikhar aaen arsh ki rifaten
ye makan-e-kHwaja-e-la-makan ye sara-e-surur dusra
qadam-e-rasul ko chhoD kar na hawa pe uD na falak pe ja
sar-e-arsh bhi hai jhuka hua taha pa-e-surur dusra
tere dil ki aankh agar khule to main dekhta hun wo dekh le
ki jabin-e-kaba pe naqsh hai kaf-e-pa-e-surur dusra
mujhe aarzu-e-madina hai ruKH-e-kaba su-e-madina hai
wo agar banae KHalil hai ye banae surur dusra
wo rasul hain wo karim hain wo rauf hain wo rahim hain
suni hum ne KHaliq-e-dusra se sana-e-surur dusra
na jami nazar mein shah-e-nashini na kisi ki kaj-kulahi jachi
ye 'zahin'-e-mast-e-KHuda magar hai gada-e-suru dusra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.