Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tum ho sharīk-e-ġham to mujhe koī ġham nahīñ

Fana Bulandshahri

tum ho sharīk-e-ġham to mujhe koī ġham nahīñ

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    tum ho sharīk-e-ġham to mujhe koī ġham nahīñ

    duniyā bhī mire vāste jannat se kam nahīñ

    chāhā hai tujh ko tujh pe luTā.ī hai zindagī

    tere alāva kuchh mirā dīn-o-dharam nahīñ

    vo bad-nasīb rāhat-e-hastī na sakā

    jis pe mire habīb chashm-e-karam nahīñ

    maiñ banda-e-sanam sahī kāfir sahī magar

    paa.e mirā maqām kisī meñ ye dam nahīñ

    us rāste meñ sar ko jhukānā harām hai

    jis rāste meñ aap naqsh-e-qadam nahīñ

    ai aane vaale apnī jabīñ ko jhukā kar aa

    ye āstān-e-yār hai kū-e-haram nahīñ

    ahl-e-junūñ is liye mashrab judā rahā

    vāqif niyāz-e-ishq se shaiḳh-e-haram nahīñ

    munkir rah-e-vafā meñ 'fanā' kis tarah se ho

    merā jahāñ meñ koī vajūd-o-adam nahīñ

    tum ho sharīk-e-ġham to mujhe koī ġham nahīñ

    duniyā bhī mere wāste jannat se kam nahīñ

    chāhā hai tujh ko tujh pe luTāī hai zindagī

    tere alāwa kuchh mirā dīn-o-dharam nahīñ

    wo bad-nasīb rāhat-e-hastī na sakā

    jis pe mere habīb chashm-e-karam nahīñ

    maiñ banda-e-sanam sahī kāfir sahī magar

    pae mirā maqām kisī meñ ye dam nahīñ

    us rāste meñ sar ko jhukānā harām hai

    jis rāste meñ aap naqsh-e-qadam nahīñ

    ai aane wale apnī jabīñ ko jhukā kar aa

    ye āstān-e-yār hai kū-e-haram nahīñ

    ahl-e-junūñ is liye mashrab judā rahā

    wāqif niyāz-e-ishq se shaiḳh-e-haram nahīñ

    munkir rah-e-wafā meñ 'fanā' kis tarah se ho

    merā jahāñ meñ koī wajūd-o-adam nahīñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now