tum pe qurban ek ho to kahun
Interesting Fact
(ہفتہ واری ’’تازیانہ ‘‘عید نمبر لاہور۔ ۲۹ مارچ ۱۹۲۹ء)
tum pe qurbāñ ek ho to kahūñ
jān-pahchān ek ho to kahūñ
dil diyā jaan dī ḳhudā tū ne
terā ehsān ek ho to kahūñ
saiñkaḌoñ mahv-e-jabha-sā.ī haiñ
us kā darbān ek ho to kahūñ
jhūTe va.ade tū rose kartā hai
terā īmān ek ho to kahūñ
lākhoñ aate haiñ terī mahfil meñ
terā mehmān ek ho to kahūñ
jis ko dekho vo jaan detā hai
tujh pe qurbān ek ho to kahūñ
hai zamāne se dostī un kī
jān-pahchān ek ho to kahūñ
saiñkaḌoñ chubh ga.e haiñ dil meñ tiir
terā paikān ek ho to kahūñ
pūchhte haiñ vo aarzū 'kausar'
dil meñ armāñ ek ho to kahūñ
tum pe qurban ek ho to kahun
jaan-pahchan ek ho to kahun
dil diya jaan di KHuda tu ne
tera ehsan ek ho to kahun
sainkaDon mahw-e-jabha-sai hain
us ka darban ek ho to kahun
jhuTe wade tu rose karta hai
tera iman ek ho to kahun
lakhon aate hain teri mahfil mein
tera mehman ek ho to kahun
jis ko dekho wo jaan deta hai
tujh pe qurban ek ho to kahun
hai zamane se dosti un ki
jaan-pahchan ek ho to kahun
sainkaDon chubh gae hain dil mein tir
tera paikan ek ho to kahun
puchhte hain wo aarzu 'kausar'
dil mein arman ek ho to kahun
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 182)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.