Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tumhein bhi meri yaad aati to hogi

Zaheen Shah Taji

tumhein bhi meri yaad aati to hogi

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    tumheñ bhī mirī yaad aatī to hogī

    mohabbat tumheñ bhī satātī to hogī

    mujhe ḳhvāb meñ tum ne dekhā to hogā

    tumheñ bhī kabhī niiñd aatī to hogī

    kahīñ muskurāte the tum chāñdnī meñ

    vahāñ chāñdnī muskurātī to hogī

    sitāroñ se naġhme baraste to hoñge

    fazā sohnī ab bhī gaatī to hogī

    tabī.at ke taskīn ke har sabab se

    tabī.at bhī taskīn paatī to hogī

    tumhārā bhī kyā haal merā hogā

    mohabbat kahīñ raas aatī to hogī

    kabhī dil chāhā bhī hotā to hogā

    kabhī dil hasrat bar aatī to hogī

    kasī chiiz se dil bahaltā to hogā

    koī shai tabī.at ko bhātī to hogī

    vo duniyā jo duniyā ne dekhī nahīñ hai

    vo duniyā mohabbat dikhātī to hogī

    kabhī dil kahnā bhī hotā to hogā

    mohabbat kabhī fath paatī to hogī

    ye duurī ke ehsās saḳht manzil

    tasavvur ko āñkheñ dikhātī to hogī

    judā.ī ke ehsās zulmatoñ meñ

    kahīñ sham.a jhilmilātī to hogī

    jhapaktī to hoñgī kabhī dil āñkheñ

    'zahīn' un se be-iltifātī to hogī

    tumhein bhi meri yaad aati to hogi

    mohabbat tumhein bhi satati to hogi

    mujhe KHwab mein tum ne dekha to hoga

    tumhein bhi kabhi nind aati to hogi

    kahīñ muskuraate the tum chandni mein

    wahan chandni muskuraati to hogi

    sitaron se naghme baraste to honge

    faza sohni ab bhi gati to hogi

    tabiat ke taskin ke har sabab se

    tabiat bhi taskin pati to hogi

    tumhaara bhi kya haal mera sa hoga

    mohabbat kahin ras aati to hogi

    kabhi dil ka chaha bhi hota to hoga

    kabhi dil ki hasrat bar aati to hogi

    kasi chiz se dil bahalta to hoga

    koi shai tabiat ko bhati to hogi

    wo duniya jo duniya ne dekhi nahin hai

    wo duniya mohabbat dikhati to hogi

    kabhi dil ka kahna bhi hota to hoga

    mohabbat kabhi fath pati to hogi

    ye duri ke ehsas ki saKHt manzil

    tasawwur ko aankhen dikhati to hogi

    judai ke ehsas ki zulmaton mein

    kahin shama si jhilmilati to hogi

    jhapakti to hongi kabhi dil ki aankhen

    'zahin' un se be-iltifati to hogi

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 328)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now