tumhin ko jaana tumhin ko samjhe tamam aalam se tang ho kar
tumhīñ ko jaanā tumhīñ ko samjhe tamām aalam se tañg ho kar
duī kā vahdat meñ daḳhl kaisā rahe hamesha akañg ho kar
nihāñ thā aanā ki ho na zāhir ayaañ thā jaanā ki sab hoñ bāhar
vo dil meñ aa.e umañg ho kar ga.e to chehre kā rañg ho kar
ġhazab hai insāñ dam-e-musībat kare jo insāñ se bevafā.ī
ki dekho chakkī kī paaT kaise baham haiñ gardish meñ sañg ho kar
na kor bātin ho ai barhaman zarā tū chashm-e-tamīz vā kar
ḳhudā kā banda butoñ ko sajda ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
jo uTh ke pahlū se anjuman meñ vo duur baiThe haiñ mujh se jā kar
taḌap ne dard-e-jigar ke dil ko paTak diyā hai uThā uThā kar
jo aañkh kholī to kuchh na dekhā sahar ko sunsān sab sarā thī
huā na ham-rāhiyoñ se itnā ki saath lete mujhe jagā kar
na bhuul is zindagī pe ġhāfil nahīñ hai kuchh e'tibār is kā
ki raah legī ye apnī ik din adam kā rasta tujhe batā kar
usī kā hai rañg yāsman meñ usī kī bū-bās nastaran meñ
jo khaḌke pattā bhī is chaman meñ ḳhayāl āvāz āshnā kar
balā hai hirs-o-havā-e-duniyā ki jis se chakkar meñ sab haiñ insāñ
kiyā pareshāñ in āñdhiyoñ ne tamām zarroñ ko ḳhaak uḌā kar
ye kis kī teġh-e-jafā kā yārab har ek dil par hai ro.ab ġhālib
hilāl kī hai ḳhamīda gardan sip.har chaltā hai sar jhukā kar
shabīh madd-e-nazar hai kis kī ki koī puurī nahīñ utartī
miTā diye sāne.a-e-azal ne hazāroñ naqshe banā banā kar
ho bazm-e-jānāñ meñ hashr barpā taḌap kā dil kī ye thā taqāzā
magar baḌī mushkiloñ se rokā adab ne zaanū dabā dabā kar
tumhin ko jaana tumhin ko samjhe tamam aalam se tang ho kar
dui ka wahdat mein daKHl kaisa rahe hamesha akang ho kar
nihan tha aana ki ho na zahir ayan tha jaana ki sab hon bahar
wo dil mein aae umang ho kar gae to chehre ka rang ho kar
ghazab hai insan dam-e-musibat kare jo insan se bewafai
ki dekho chakki ki paT kaise baham hain gardish mein sang ho kar
na kor baatin ho ai barhaman zara tu chashm-e-tamiz wa kar
KHuda ka banda buton ko sajda KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
jo uTh ke pahlu se anjuman mein wo dur baiThe hain mujh se ja kar
taDap ne dard-e-jigar ke dil ko paTak diya hai uTha uTha kar
jo aankh kholi to kuchh na dekha sahar ko sunsan sab sara thī
hua na ham-rahiyon se itna ki sath lete mujhe jaga kar
na bhul is zindagi pe ghafil nahin hai kuchh e'tibar is ka
ki rah legi ye apnī ek din adam ka rasta tujhe bata kar
usi ka hai rang yasman mein usi ki bu-bas nastaran mein
jo khaDke patta bhi is chaman mein KHayal aawaz aashna kar
bala hai hirs-o-hawa-e-duniya ki jis se chakkar mein sab hain insan
kiya pareshan in aandhiyon ne tamam zarron ko KHak uDa kar
ye kis ki tegh-e-jafa ka yarab har ek dil par hai roab ghaalib
hilal ki hai KHamida gardan siphar chalta hai sar jhuka kar
shabih madd-e-nazar hai kis ki ki koi puri nahin utarti
miTa diye sanea-e-azal ne hazaron naqshe bana bana kar
ho bazm-e-jaanan mein hashr barpa taDap ka dil ki ye tha taqaza
magar baDi mushkilon se roka adab ne zanu daba daba kar
- Book : Kalam-e-Ameer Minayee (Pg. 60)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Mashwara Book Dopt. Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.