tumhin ko sab ahl-e-nazar dekhte hain
tumhīñ ko sab ahl-e-nazar dekhte haiñ
khulī aañkh se be-ḳhabar dekhte haiñ
ye sab sūrateñ jin se raushan hai aalam
tumheñ sab meñ ham jalva-gar dekhte haiñ
kahīñ tum ko dekhā munazzah mubarrā
kahīñ tum ko ain-e-bashar dekhte haiñ
'azīz' ab to ham ā.īna ban ga.e haiñ
yahī shakl shām-o-sahar dekhte haiñ
tumhin ko sab ahl-e-nazar dekhte hain
khuli aankh se be-KHabar dekhte hain
ye sab suraten jin se raushan hai aalam
tumhein sab mein hum jalwa-gar dekhte hain
kahin tum ko dekha munazzah mubarra
kahin tum ko ain-e-bashar dekhte hain
'aziz' ab to hum aaina ban gae hain
yahī shakl sham-o-sahar dekhte hain
- Book : Irfan-e-Azeez Intikhab-e-Kalam-e-Urdu (Pg. 30)
- Author : Azeez Safipuri
- Publication : Urdu Department, Aligarh Muslim University (1946)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.