tumhin ko shauq nahin kuchh mujhe satane ka
tumhīñ ko shauq nahīñ kuchh mujhe satāne kā
milā hai dil to yahī rañg hai zamāne kā
tumhāre husn kā shohrā mire fasāne se
tumhāre husn se shohrā mire fasāne kā
ġharz ki ab kisī 'unvāñ nahīñ mujhe rāhat
sukūñ hai naam mire dil ke baiTh jaane kā
hameñ to koī hasīnoñ meñ bā-vafā na milā
tumhārā zikr nahīñ zikr hai zamāne kā
mujhe bhī ab to taraddud hai 'uzr-e-vahshat meñ
nigāh-e-mehr ne ḳhuuñ kar diyā bahāne kā
vo laash 'maikash'-e-nā-kām naujavāñ kī milī
sitam hai uf ye natīja hai dil lagāne kā
tumhin ko shauq nahin kuchh mujhe satane ka
mila hai dil to yahi rang hai zamane ka
tumhaare husn ka shohra mere fasane se
tumhaare husn se shohra mere fasane ka
gharz ki ab kisi 'unwan nahin mujhe rahat
sukun hai nam mere dil ke baiTh jaane ka
hamein to koi hasinon mein ba-wafa na mila
tumhaara zikr nahin zikr hai zamane ka
mujhe bhi ab to taraddud hai 'uzr-e-wahshat mein
nigah-e-mehr ne KHun kar diya bahane ka
wo lash 'maikash'-e-na-kaam naujawan ki mili
sitam hai uf ye natija hai dil lagane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.