turbat mein sulaegi ek din teri ruposhi
turbat meñ sulā.egī ik din terī rūposhī
is parde meñ niklegā armān-e-ham-āġhoshī
ab kaun bulātā hai ab kaun pilātā hai
saaqī hī ke dam se thī mai-noshoñ kī mah-noshī
saaqī terī hasrat meñ āñkheñ mirī rotī haiñ
mātam kī shahādat hai putlī kī siyah-poshī
ik raaz hai ai 'muztar' turbat kā añdherā bhī
aa.ī hai paye mātam ka.abe kī siyah-poshī
turbat mein sulaegi ek din teri ruposhi
is parde mein niklega arman-e-ham-aghoshi
ab kaun bulata hai ab kaun pilata hai
saqi hi ke dam se thi mai-noshon ki mah-noshi
saqi teri hasrat mein aankhen meri roti hain
matam ki shahadat hai putli ki siyah-poshi
ek raaz hai ai 'muztar' turbat ka andhera bhi
aai hai paye matam kabe ki siyah-poshi
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 77)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.