main kya kahun teri qurbat ka kis kis ko yahan paigham mila
main kya kahun teri qurbat ka kis kis ko yahan paigham mila
Turfa Qureshi
MORE BYTurfa Qureshi
maiñ kyā kahūñ terī qurbat kā kis kis ko yahāñ paiġhām milā
har zarra kalīm-e-shauq banā har shai ko lutf-e-kalām milā
mai-ḳhāna-e-fitrat ke saaqī ye zarf tirā ye fayyāzī
jo tishna nahīñ mahfil meñ tirī us ko bhī chhalaktā jaam milā
irfāñ ke darīche aise khile har parda uThā har jahl miTā
har sū nazar aa.e jalve tire har samt nayā paiġhām milā
aise bhī muqaddar vaale thī duniyā meñ hazāroñ lākhoñ jinheñ
tū din ko milā tū shab ko milā tū sub.h milā tū shaam milā
kaliyoñ kī chaTak meñ terī sadā phūloñ kī mahak meñ terī adā
har shāḳh meñ terī lachak dekhī har barg pe terā naam milā
ai chāra-gar har rañj-o-alam tū vāqa.ī jān-e-hikmat hai
aate hī zabāñ par naam tirā taskīn huī ārām milā
jo baat samajh se bāhar thī vo baat samajh meñ aa ke rahī
tū ilm-o-yaqīñ kī duniyā meñ taġhlīt kun auhām milā
main kya kahun teri qurbat ka kis kis ko yahan paigham mila
har zarra kalim-e-shauq bana har shai ko lutf-e-kalam mila
mai-KHana-e-fitrat ke saqi ye zarf tera ye fayyazi
jo tishna nahin mahfil mein teri us ko bhi chhalakta jam mila
irfan ke dariche aise khile har parda uTha har jahl miTa
har su nazar aae jalwe tere har samt naya paigham mila
aise bhi muqaddar wale thi duniya mein hazaron lakhon jinhen
tu din ko mila tu shab ko mila tu subh mila tu sham mila
kaliyon ki chaTak mein teri sada phulon ki mahak mein teri ada
har shaKH mein teri lachak dekhi har barg pe tera nam mila
ai chaara-gar har ranj-o-alam tu waqai jaan-e-hikmat hai
aate hi zaban par nam tera taskin hui aaram mila
jo baat samajh se bahar thi wo baat samajh mein aa ke rahi
tu ilm-o-yaqin ki duniya mein taghlit kun auham mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.