aah bar-lab gham ba-dil nala ba-kaam aahi gaya
aah bar-lab ġham ba-dil naala ba-kām aahī gayā
zindagī ko maut banñe kā payām aahī gayā
ab jabīn-e-shauq ko sajdoñ se fursat hoga.ī
dil jahāñ jhuktā hai āḳhir vo maqām aahī gayā
baḌhte baḌhte āñso.oñ kī ḳhushk-sālī baḌh ga.ī
hichkiyoñ kī had meñ qalb tishna-kām aahī gayā
ishq kī ḳhud-dāriyoñ ne mujh ko baḳhshā vo maqām
jis jagah maġhrūr nazroñ kā salām aahī gayā
nau-urūsān-e-chaman ke dāman-e-gulrañg par
kaif baar ik abr-e-āhista ḳhirām aahī gayā
shādbāsh ai jazb-e-dil zauq-e-nazāra shādbāsh
tālib-e-bām-e-nazar husn tamām aahī gayā
hichkiyoñ meñ ho gayā gum nā-rasā.ī kā gila
rahbaro hastī ko manzil kā payām aahī gayā
dekh kar sharminda-e-takmīl tā'mīr-e-hayāt
kisht-o-ḳhūñ ko zad pe duniyā kā nizām aahī gayā
Dhalte Dhalte nuur ke sāñche meñ fitrat Dhal ga.ī
aate aate dard-e-dil insāñ ke kaam aahī gayā
mere naġhme guuñj uThe 'turfa' fazā-e-quds meñ
qudsiyoñ kī bazm meñ bhī merā naam aahī gayā
aah bar-lab gham ba-dil nala ba-kaam aahi gaya
zindagi ko maut banne ka payam aahi gaya
ab jabin-e-shauq ko sajdon se fursat hogai
dil jahan jhukta hai aaKHir wo maqam aahi gaya
baDhte baDhte aansoon ki KHushk-sali baDh gai
hichkiyon ki had mein qalb tishna-kaam aahi gaya
ishq ki KHud-dariyon ne mujh ko baKHsha wo maqam
jis jagah maghrur nazron ka salam aahi gaya
nau-urusan-e-chaman ke daman-e-gulrang par
kaif bar ek abr-e-ahista KHiram aahi gaya
shadbash ai jazb-e-dil zauq-e-nazara shadbash
talib-e-baam-e-nazar husn tamam aahi gaya
hichkiyon mein ho gaya gum na-rasai ka gila
rahbaro hasti ko manzil ka payam aahi gaya
dekh kar sharminda-e-takmil ta'mir-e-hayat
kisht-o-KHun ko zad pe duniya ka nizam aahi gaya
Dhalte Dhalte nur ke sanche mein fitrat Dhal gai
aate aate dard-e-dil insan ke kaam aahi gaya
mere naghme gunj uThe 'turfa' faza-e-quds mein
qudsiyon ki bazm mein bhi mera nam aahi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.