tu hi hai mera yaqin mera din mera shuhud
tū hī hai merā yaqīñ merā diiñ merā shuhūd
tire sivā kisī shai kī numūd hai na vujūd
yaqīñ kufr pe kāfir ko hai tire na huā
tū hī haqīqat-e-bātil tū hī 'adam kā vujūd
har ik hijāb se niklī navā-e-illallāh
kamāl-e-kufr ne chheḌā jo sāz-e-lā-maujūd
har ek samt tirā ruḳh har ek ruḳh tirī zaat
karūñ maiñ kis kī taraf pusht kis kī samt sujūd
junūñ ko sajda-e-be-sar mirā mubārak ho
vo terā jalva-e-be-samt phir huā mash.hūd
nigāh pher ke mujh se tujhe sukūñ na milā
tirī nazar kī nazar 'ishq bhī nahīñ mahdūd
vahī hai 'maikash'-e-nākām terā dīvāna
rahā haram se jo mahrūm dair se mardūd
tu hi hai mera yaqin mera din mera shuhud
tere siwa kisi shai ki numud hai na wujud
yaqin kufr pe kafir ko hai tere na hua
tu hi haqiqat-e-baatil tu hi 'adam ka wujud
har ek hijab se nikli nawa-e-illallah
kamal-e-kufr ne chheDa jo saz-e-la-maujud
har ek samt tera ruKH har ek ruKH teri zat
karun main kis ki taraf pusht kis ki samt sujud
junun ko sajda-e-be-sar mera mubarak ho
wo tera jalwa-e-be-samt phir hua mashhud
nigah pher ke mujh se tujhe sukun na mila
teri nazar ki nazar 'ishq bhi nahin mahdud
wahi hai 'maikash'-e-nakaam tera diwana
raha haram se jo mahrūm dair se mardud
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.