tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se uTha diya
tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se uTha diya
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
tū ne apnā jalva dikhāne ko jo naqāb muñh se uThā diyā
hu.vī mahv-e-hairat-e-be-ḳhudī mujhe ā.īna sā banā diyā
vo jo naqsh-e-pā kī tarah hī thī numūd apne vajūd kī
so kashish se dāman-e-nāz ne use bhī zamīñ se miTā diyā
kyā hī chain ḳhvāb-e-’adam meñ thā na thā zulf-e-yār kā kuchh ḳhayāl
so jagā ke shor-e-zuhūr ne mujhe kis balā meñ phañsā diyā
zarā chhup nigāh-e-raqīb se paḌī us galī meñ thī merī ḳhaak
tū ne ek jhoñke meñ ai sabā use le vahāñ se uḌā diyā
rag-o-pai meñ aag bhaḌak uThī phūñke hai paḌā sabhī tan-badan
mujhe sāqiyā mai-e-ātishīñ kā ye jaam kaisā pilā diyā
ye nihāl sho.ala-e-husn kā terā baḌh ke sar-ba-falak huā
merī kāh-e-hastī se mushta.il havā se ye na nashv-o-numā diyā
jab hī jaake maktab-e-ishq meñ sabaq-e-maqām-e-fanā liyā
jo likhā paḌhā thā 'niyāz' ne so vo saaf dil se bhulā diyā
tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se uTha diya
huwi mahw-e-hairat-e-be-KHudi mujhe aaina sa bana diya
wo jo naqsh-e-pa ki tarah hi thi numud apne wajud ki
so kashish se daman-e-naz ne use bhi zamin se miTa diya
kya hi chain KHwab-e-’adam mein tha na tha zulf-e-yar ka kuchh KHayal
so jaga ke shor-e-zuhur ne mujhe kis bala mein phansa diya
zara chhup nigah-e-raqib se paDi us gali mein thi meri KHak
tu ne ek jhonke mein ai saba use le wahan se uDa diya
rag-o-pai mein aag bhaDak uThi phunke hai paDa sabhi tan-badan
mujhe saqiya mai-e-atishin ka ye jam kaisa pila diya
ye nihaal shoala-e-husn ka tera baDh ke sar-ba-falak hua
meri kah-e-hasti se mushtail hawa se ye na nashw-o-numa diya
jab hi jake maktab-e-ishq mein sabaq-e-maqam-e-fana liya
jo likha paDha tha 'niyaz' ne so wo saf dil se bhula diya
- Book : Deewan-e-niyaaz beniyaaz (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.