tu sukun nahin ki aman nahin tu dawa nahin ki dua nahin
tū sukūñ nahīñ ki amaañ nahīñ tū davā nahīñ ki du'ā nahīñ
mirī zindagī ko badal na de tirī kaun sī vo adā nahīñ
tū ḳhudā nahīñ to nahīñ sahī tū magar ḳhudā se judā nahīñ
koī mujh ko itnā batā to de tire dar pe sajda ravā nahīñ
tirā raaz dil pe na khul sakā jo khulā to bhed yahī khulā
na milā use na malegā tū tirī zaat meñ jo fanā nahīñ
mujhe kyuuñ talāsh-e-haram rahe mujhe kyuuñ ho dair kī justujū
tire 'aks-e-ruḳh kī tajalliyāñ koī dil meñ jalva-numā nahīñ
tire ġham ne mujh ko jilā diyā tirī yaad ne ye dikhā diyā
tū alag nahīñ maiñ alag nahīñ tū judā nahīñ maiñ judā nahīñ
mai-josh-o-jazba-o-dard-o-ġham rah-e-shauq ishq-e-asar-talab
tire 'āshiqoñ ko tirī qasam tire dar se kyā kyā milā nahīñ
ba-ḳhudā mujhe ye qubūl hai ba-ḳhudā mujhe ye yaqīn hai
mire dard-o-ġham kī koī davā tire āstāñ ke sivā nahīñ
tu sukun nahin ki aman nahin tu dawa nahin ki du'a nahin
meri zindagi ko badal na de teri kaun si wo ada nahin
tu KHuda nahin to nahin sahi tu magar KHuda se juda nahin
koi mujh ko itna bata to de tere dar pe sajda rawa nahin
tera raaz dil pe na khul saka jo khula to bhed yahi khula
na mila use na malega tu teri zat mein jo fana nahin
mujhe kyun talash-e-haram rahe mujhe kyun ho dair ki justuju
tere 'aks-e-ruKH ki tajalliyan koi dil mein jalwa-numa nahin
tere gham ne mujh ko jila diya teri yaad ne ye dikha diya
tu alag nahin main alag nahin tu juda nahin main juda nahin
mai-josh-o-jazba-o-dard-o-gham rah-e-shauq ishq-e-asar-talab
tere 'ashiqon ko teri qasam tere dar se kya kya mila nahin
ba-KHuda mujhe ye qubul hai ba-KHuda mujhe ye yaqin hai
mere dard-o-gham ki koi dawa tere aastan ke siwa nahin
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 76)
- Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.