uDa kar rakh diye purze jigar ke
uḌā kar rakh diye purze jigar ke
ajī bal jā.iye teġh-e-nazar ke
ye hālat ho ga.ī zulfoñ meñ phañs kar
ki ab mehmān haiñ ham rāt-bhar ke
ḳhudā-hāfiz hai us gul kī kamar kā
ġhazab jhoñke chale bād-e-sahar ke
na tum ne qadr kuchh āshiq kī jaanī
bahut ro.o.ge ab tum yaad kar ke
ajī dil meñ utar aao kisī din
mirī āñkhoñ par apne paañv dhar ke
dam-e-āḳhir to siine se lipaT jā
koī jiitā nahīñ ai jaan mar ke
lahad meñ tum na chheḌo ai farishto
satā.e haiñ kisī ke umr-bhar ke
na jab tak us ko chhātī se lagāyā
ġhazab sadme rahe dard-e-jigar ke
bane aañsū phaphūle sūrat-e-sham.a
jalā.e haiñ ham apnī chashm-e-tar ke
ba-rañg-e-sham.a ThanDā bhī kar ai sub.h
jalā.e haiñ kisī ke rāt-bhar ke
ġham-e-dañdāñ meñ vo lāġhar hue ham
ki haiñ tār-e-nazar chashm-e-guhar ke
ḳhudā-hāfiz tire bīmār kā hai
ki ab ġhash aate haiñ do-do-pahar ke
kahīñ to dil-jigar jalne lagegā
na suniye merī aaheñ kaan dhar ke
dam-e-āḳhir diye us but ne bose
vo bose the ki the toshe safar ke
kahīñ phir choT khaa.ī tum ne 'āsī'
bahut rote ho dil par haath dhar ke
uDa kar rakh diye purze jigar ke
aji bal jaiye tegh-e-nazar ke
ye haalat ho gai zulfon mein phans kar
ki ab mehman hain hum raat-bhar ke
KHuda-hafiz hai us gul ki kamar ka
ghazab jhonke chale baad-e-sahar ke
na tum ne qadr kuchh aashiq ki jaani
bahut rooge ab tum yaad kar ke
aji dil mein utar aao kisi din
meri aankhon par apne panw dhar ke
dam-e-aKHir to sine se lipaT ja
koi jita nahin ai jaan mar ke
lahad mein tum na chheDo ai farishto
satae hain kisi ke umr-bhar ke
na jab tak us ko chhati se lagaya
ghazab sadme rahe dard-e-jigar ke
bane aansu phaphule surat-e-shama
jalae hain hum apnī chashm-e-tar ke
ba-rang-e-shama ThanDa bhi kar ai subh
jalae hain kisi ke raat-bhar ke
gham-e-dandan mein wo laghar hue hum
ki hain tar-e-nazar chashm-e-guhar ke
KHuda-hafiz tere bimar ka hai
ki ab ghash aate hain do-do-pahar ke
kahin to dil-jigar jalne lagega
na suniye meri aahen kan dhar ke
dam-e-aKHir diye us but ne bose
wo bose the ki the toshe safar ke
kahin phir choT khai tum ne 'asi'
bahut rote ho dil par hath dhar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.