Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

umr bhar puja hai maine jis ko wo dar hai yahi

Zaheen Shah Taji

umr bhar puja hai maine jis ko wo dar hai yahi

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    'umr bhar puujā hai maiñ ne jis ko vo dar hai yahī

    but-kada merā yahī allāh ghar hai yahī

    jhuk gayā dil ruuh ne sajda kiyā be-iḳhtiyār

    jalva-gāh-e-dil-navāz-o-rūh-parvar hai yahī

    kaT ga.iiñ hosh-o-ḳhirad beḌiyāñ aa kar yahāñ

    markaz-e-jazb-o-junūñ allāhu-akbar hai yahī

    zarre zarre se yahāñ ke aa rahī hai bū-e-dost

    chhoḌ kar ghar ham jahāñ aa.e haiñ vo ghar hai yahī

    jagmagā uTThe haiñ sharq-o-ġharb jis ke nuur se

    mehr-e-'ālamatāb māh-e-nūr-e-gustar hai yahī

    'umr bhar puja hai main ne jis ko wo dar hai yahi

    but-kada mera yahi allah ka ghar hai yahi

    jhuk gaya dil ruh ne sajda kiya be-iKHtiyar

    jalwa-gah-e-dil-nawaz-o-ruh-parwar hai yahi

    kaT gain hosh-o-KHirad ki beDiyan aa kar yahan

    markaz-e-jazb-o-junun allahu-akbar hai yahi

    zarre zarre se yahan ke aa rahi hai bu-e-dost

    chhoD kar ghar hum jahan aae hain wo ghar hai yahi

    jagmaga uTThe hain sharq-o-gharb jis ke nur se

    mehr-e-'alamatab mah-e-nur-e-gustar hai yahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now