un ka na tasawwur bhi karta jo ham-aghoshi
un kā na tasavvur bhī kartā jo ham-āġhoshī
hai hai shab-e-tanhā.ī kis tarah basar hotī
mahfil meñ jo tū aatā pahle kī tarah se phir
āñkhoñ meñ jagah terī ai nūr-e-nazar hotī
khiḌkī jo kabhī khultī phirte na tamāshā.ī
band aap ke kūche meñ har rāhguzar hotī
kyā aabrū aa jaatī motī kī laḌī bante
ashkoñ meñ agar ḳhushkī ai dīda-e-tar hotī
kis vāste ham dil ko chhātī se lagā rakhte
tasvīr bhalā us meñ terī na agar hotī
dil meñ bhī kahīñ aisā hī kuchh dard agar hotā
chhuTTī hī merī phir to ai dard-e-jigar hotī
daañt un ke jo khul paḌte ārā.ish-e-abrū meñ
talvār ke chhāoñ meñ bhī āb-e-guhar hotī
sunte haiñ gunahgāroñ kī aaj rihā.ī hai
'āsī' kī bhī baḳhshā.ish ai ḳhair-e-bashar hotī
un ka na tasawwur bhi karta jo ham-aghoshi
hai hai shab-e-tanhai kis tarah basar hoti
mahfil mein jo tu aata pahle ki tarah se phir
aankhon mein jagah teri ai nur-e-nazar hoti
khiDki jo kabhi khulti phirte na tamashai
band aap ke kuche mein har rahguzar hoti
kya aabru aa jati moti ki laDi bante
ashkon mein agar KHushki ai dida-e-tar hoti
kis waste hum dil ko chhati se laga rakhte
taswir bhala us mein teri na agar hoti
dil mein bhi kahin aisa hi kuchh dard agar hota
chhuTTi hi meri phir to ai dard-e-jigar hoti
dant un ke jo khul paDte aaraish-e-abru mein
talwar ke chhaon mein bhi aab-e-guhar hoti
sunte hain gunahgaron ki aaj rihai hai
'asi' ki bhi baKHshaish ai KHair-e-bashar hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.