un ke mazar dekhne wale bhi ro diye
un ke mazār dekhne vaale bhī ro diye
maare hue jo us nigah-e-jāñ-sitāñ ke haiñ
siine meñ soz dil meñ hai kāvish jigar meñ dard
jitne karam ye ham pe haiñ ek mehrbāñ ke haiñ
sab par tavāf-e-kū-e-ḳharābāt farz hai
jitne murīd hazrat-e-pīr-e-muġhāñ ke haiñ
mushkil hai mere TuuTe hue dil kā joḌnā
samjho to pahle kaun se TukḌe kahāñ ke haiñ
muñh pher kar chale haiñ 'jigar' un se pūchh lo
dil ḳhaak meñ milā ke irāde kahāñ ke haiñ
un ke mazar dekhne wale bhi ro diye
mare hue jo us nigah-e-jaan-sitan ke hain
sine mein soz dil mein hai kawish jigar mein dard
jitne karam ye hum pe hain ek mehrban ke hain
sab par tawaf-e-ku-e-KHarabaat farz hai
jitne murid hazrat-e-pir-e-mughan ke hain
mushkil hai mere TuTe hue dil ka joDna
samjho to pahle kaun se TukDe kahan ke hain
munh pher kar chale hain 'jigar' un se puchh lo
dil KHak mein mila ke irade kahan ke hain
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 219)
- Publication : FIne Books Pritners (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.