unki nazron ne aisa mara hai
un kī nazroñ ne aisā maarā hai
chāk-dāman hai dil do paarā hai
raaz dil kī lagī ne kholā ye
ishq shabnam nahīñ sharārā hai
terī furqat meñ terī chāhat meñ
maiñ ne har dam tujhe pukārā hai
tiir khā kar bhī muskurāo tum
un ke ġhamze kā ye ishāra hai
sar kaTāte haiñ jaañ luTāte haiñ
vaah kyā husn ye tumhārā hai
ruḳh kī rañgat bhī ek aafat hai
terī qāmat qiyāmat-ārā hai
saañs aatī hai aur na jaatī hai
tīr-e-mizhgāñ ne aisā maarā hai
tere dīdār par ye dil bolā
vaah kyā ḳhuub ye nazāra hai
un kī sūrat pe sadqe jān-o-dil
vo parī-vash to ik bahārā hai
ye haqīqat hai ishq meñ sun lo
us meñ jiitā vahī jo haarā hai
naam un kā hamesha lete raho
dard-e-dil kā asar ye chāra hai
un ki nazron ne aisa mara hai
chaak-daman hai dil do para hai
raaz dil ki lagi ne khola ye
ishq shabnam nahin sharara hai
teri furqat mein teri chahat mein
main ne har dam tujhe pukara hai
tir kha kar bhi muskurao tum
un ke ghamze ka ye ishaara hai
sar kaTate hain jaan luTate hain
wah kya husn ye tumhaara hai
ruKH ki rangat bhi ek aafat hai
teri qamat qiyamat-ara hai
sans aati hai aur na jati hai
tir-e-mizhgan ne aisa mara hai
tere didar par ye dil bola
wah kya KHub ye nazara hai
un ki surat pe sadqe jaan-o-dil
wo pari-wash to ek bahaara hai
ye haqiqat hai ishq mein sun lo
us mein jita wahi jo haara hai
nam un ka hamesha lete raho
dard-e-dil ka asar ye chaara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.