Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

un ko but samjhā thā yā un ko ḳhudā samjhā thā maiñ

Behzad Lakhnavi

un ko but samjhā thā yā un ko ḳhudā samjhā thā maiñ

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    un ko but samjhā thā un ko ḳhudā samjhā thā maiñ

    haañ batā de ai jabīn-e-shauq kyā samjhā thā maiñ

    allāh allāh kyā ināyat kar ga.ī mizrāb-e-ishq

    varna sāz-e-zindagī ko be-sadā samjhā thā maiñ

    un se shikva kyuuñ karūñ un se shikāyat kyā karūñ

    ḳhud baḌī mushkil se apnā mudda.ā samjhā thā maiñ

    merī hālat dekhiye merā taḌapnā dekhiye

    aap ko is se ġharaz kyā hai ki kyā samjhā thā maiñ

    khul gayā ye raaz un āñkhoñ ke ashk-e-nāz se

    kaifiyāt-e-husn ko ġham se judā samjhā thā maiñ

    ai jabīn-e-shauq haañ tujh ko baḌī zahmat huī

    aaj har zarre ko un naqsh-e-pā samjhā thā maiñ

    ik nazar par munhasir thī ziist kul kā.enāt

    har nazar ko jaan jān-e-mudda.ā samjhā thā maiñ

    aa rahā hai kyuuñ kisī naam hoñToñ tak mire

    ai dil-e-muztar tujhe sabr-āzmā samjhā thā maiñ

    aap to har har qadam par ho rahe haiñ jalva-gar

    aap ko hadd-e-nazar se māvarā samjhā thā maiñ

    ye fuġhāñ ye shor ye naale ye shevan the fuzūl

    kyā batātī thī mohabbat aur kyā samjhā thā maiñ

    us nigāh-e-nāz ne 'bahzād' mujh ko kho diyā

    jis nigāh-e-nāz ko apnī davā samjhā thā maiñ

    un ko but samjhā thā un ko ḳhudā samjhā thā maiñ

    hañ batā de ai jabīn-e-shauq kyā samjhā thā maiñ

    allāh allāh kyā ināyat kar gaī mizrāb-e-ishq

    warna sāz-e-zindagī ko be-sadā samjhā thā maiñ

    un se shikwa kyuñ karūñ un se shikāyat kyā karūñ

    ḳhud baḌī mushkil se apnā muddaā samjhā thā maiñ

    merī hālat dekhiye merā taḌapnā dekhiye

    aap ko is se ġharaz kyā hai ki kyā samjhā thā maiñ

    khul gayā ye raaz un āñkhoñ ke ashk-e-nāz se

    kaifiyāt-e-husn ko ġham se judā samjhā thā maiñ

    ai jabīn-e-shauq hañ tujh ko baḌī zahmat huī

    aaj har zarre ko un naqsh-e-pā samjhā thā maiñ

    ek nazar par munhasir thī zist kul kāenāt

    har nazar ko jaan jān-e-muddaā samjhā thā maiñ

    aa rahā hai kyuñ kisī nam hoñToñ tak mere

    ai dil-e-muztar tujhe sabr-āzmā samjhā thā maiñ

    aap to har har qadam par ho rahe haiñ jalwa-gar

    aap ko hadd-e-nazar se māwarā samjhā thā maiñ

    ye fuġhāñ ye shor ye nale ye shewan the fuzūl

    kyā batātī thī mohabbat aur kyā samjhā thā maiñ

    us nigāh-e-nāz ne 'bahzād' mujh ko kho diyā

    jis nigāh-e-nāz ko apnī dawā samjhā thā maiñ

    Source :
    • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 78)
    • Author : Farooq ‘Argali’
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now