jap raha hun main teri yaad ki mala dil mein
jap rahā huuñ maiñ tirī yaad kī maalā dil meñ
jalva-farmā ho tū ai barq-e-tajallā dil meñ
merī āñkhoñ se agar parda-e-ġhaflat uTh jaa.e
maiñ bhī dekhūñ tire joban kā tamāshā dil meñ
tuuhī pyārā hai merā aur tuuhī jaanī hai mirā
aa biThā luuñ maiñ tujhe ai mire chhailā dil meñ
zikr bhī karatā huuñ gar maiñ to tirā karatā huuñ
juz tire dhyān nahīñ aur kisī kā dil meñ
duur āñkhoñ se tasavvur nahīñ hotā jis kā
khub gayā hai vo nabī kā ruḳh-e-zebā dil meñ
jap raha hun main teri yaad ki mala dil mein
jalwa-farma ho tu ai barq-e-tajalla dil mein
meri aankhon se agar parda-e-ghaflat uTh jae
main bhi dekhun tere joban ka tamasha dil mein
tuhi pyara hai mera aur tuhi jaani hai mera
aa biTha lun main tujhe ai mere chhaila dil mein
zikr bhi karata hun gar main to tera karata hun
juz tere dhyan nahin aur kisi ka dil mein
dur aankhon se tasawwur nahin hota jis ka
khub gaya hai wo nabi ka ruKH-e-zeba dil mein
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 4)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.