zarra meñ vahī vahī nazar meñ
hai farq magar nazar nazar meñ
ye jalva-numā.iyāñ haiñ kis kī
chamkī haiñ jo kasvat bashar meñ
ġhash khā ke gire kalīm jis se
hai jalva vahī shajar-hajar meñ
allāh re zauq-e-ḳhud-numā.ī
apne ko dikhā diyā bashar meñ
ka.abe bhī ga.e sanam kade bhī
saudā-e-butāñ vahī hai sar meñ
ulfat ne kiyā ḳhafīf itnā
hargiz na samā.e ham nazar meñ
manzil pe kabhī pahuñch raheñge
baiThe haiñ 'zahīr' rah-guzar meñ
zarra mein wahi wahi nazar mein
hai farq magar nazar nazar mein
ye jalwa-numaiyan hain kis ki
chamki hain jo kaswat bashar mein
ghash kha ke gire kalim jis se
hai jalwa wahi shajar-hajar mein
allah re zauq-e-KHud-numai
apne ko dikha diya bashar mein
kabe bhi gae sanam kade bhi
sauda-e-butan wahi hai sar mein
ulfat ne kiya KHafif itna
hargiz na samae hum nazar mein
manzil pe kabhi pahunch rahenge
baiThe hain 'zahir' rah-guzar mein
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 6)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.