ye jalwa kisi ka hai samaya mere dil mein
ye jalva kisī kā hai samāyā mire dil meñ
āñkhoñ meñ jo sūrat hai to naqsha mire dil meñ
jis kā na nishāñ kā’ba-o-but-ḳhāna meñ paayā
vo shoḳh sarāpā nazar aayā mire dil meñ
hai shauq meñ dīdār ke har sañg se zāhir
barq sharar-e-tūr kā jalvā mire dil meñ
jaañ tan meñ hai aur jaan meñ jānāñ kī hai tasvīr
sho.ala meñ ziyā aur vo sho.ala mire dil meñ
kyuuñ san’at-e-be-chūnī-e-sān.e.a pe na duuñ jaan
qatra meñ vo dariyā hai vo dariyā mire dil meñ
yaksāñ haiñ rah-e-’ishq meñ ye kufr aur islām
ka.aba mire dil meñ hai kalīsā mire dil meñ
ai kāfir-e-bad-kesh kabhī rahm bhī farmā
aa jā mirī āñkhoñ meñ samā jā mire dil meñ
har aan na.ī shaan hai us yaar kī 'rūhī'
hotā hai tamāsha pe tamāsha mire dil meñ
ye jalwa kisi ka hai samaya mere dil mein
aankhon mein jo surat hai to naqsha mere dil mein
jis ka na nishan ka’ba-o-but-KHana mein paya
wo shoKH sarapa nazar aaya mere dil mein
hai shauq mein didar ke har sang se zahir
barq sharar-e-tur ka jalwa mere dil mein
jaan tan mein hai aur jaan mein jaanan ki hai taswir
shoala mein ziya aur wo shoala mere dil mein
kyun san’at-e-be-chuni-e-sanea pe na dun jaan
qatra mein wo dariya hai wo dariya mere dil mein
yaksan hain rah-e-’ishq mein ye kufr aur islam
kaba mere dil mein hai kalisa mere dil mein
ai kafir-e-bad-kesh kabhi rahm bhi farma
aa ja meri aankhon mein sama ja mere dil mein
har aan nai shan hai us yar ki 'ruhi'
hota hai tamasha pe tamasha mere dil mein
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 6)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.